Sahir - Ek Waqya - Andhyaari Raat Ke Aangan Mein

Andhyaari Raat Ke Aangan Mein

Andhyaari Raat Ke Aangan Mein Ye Subah Ke Qadmon Ki Aahat

Ye Bhigi Bhigi Sard Hawaa, Ye Halki Halki Dhundlaahat

Gaadi Mein Hoon Tanhaa Mahw-E-Safar Aur Nind Nahin Hai Aankhon Mein

Bhoole Bisre Armaanon Ke Khwaabon Ki Zamin Hai Aankhon Mein

Agle Din Haath Hilaate Hain Pichhli Pitein Yaad Aati Hain

Gum-Gashtah Khushiyaan Aankhon Mein Aansoo Ban Kar Lahraati Hain

Sine Ke Wiraan Goshon Mein Ik Tis Si Karwat Leti Hai

Naakaam Umangein Roti Hain, Ummid Sahaare Deti Hai

Woh Raahein Zahan Mein Ghoomti Hain Jin Raahon Se Aaj Aayaa Hoon

Kitni Ummid Se Pahunchaa Thaa, Kitni Maayoosi Laayaa Hoon

---------------------

Post a Comment

0 Comments

–>