Naqaab Shayari


naqaab shayari



Haan Kya Huaa Vo Hausla-E-Deed Ahl-E-Dil
Dekho Na Vo Naqaab Uthaaye Huye To Hain

[Majaz]

******************************  
  

Mujh Ko Khabar Rahi Na Rukh-E-Benaqaab Ki
Hai Khud Numood-E-Husn Men Shaan-E-Hijaab Ki

[Asghar Gondvi]

******************************   
 

Hai Dekhne Vaalon Ko Sambhalne Ka Ishaara
Thodi Naqaab Aaj Vo Sarakaaye Huye Hain

[Arsh Malsiyani]

******************************    
 

Meri Hairat Ki Qasam Aap Uthayen To Naqaab
Meraa Zimmaa Hai Ki Jalve Na Pareshaan Honge

[Jigar Moradabadi]

******************************   


Us Roo-E-Benaqaab Ka Jalwa Hua Naqaab
Nikli Hai Rang Rang Se Soorat Hijaab Ki

[Daagh Dehlvi]

***************************************


Dar-Parda Josh-E-Husn Ne Be-Parda Kar Diya
Tooti Girah Tadaak Se Band-E-Naqaab Ki

[Daagh Dehlvi]

***************************************
 

Go Havaa-E-Gulsitaan Ne Mere Dil Ki Laaj Rakh Li
Vo Naqaab Khud Uthaate To Kuchh Aur Baat Hoti

[Agha Hashr]

******************************   
 

Sarakti Jaaye Hai Rukh Se Naqaab Aahistaa-Aahistaa
Nikaltaa Aa Rahaa Hai Aaftaab Aahistaa-Aahistaa

[Ameer Minai]

******************************  
 

Kahin Chhanv Hai Kahin Dhoop Hai Kahin Aur Hi Koi Roop Hai
Kai Chehre Is Mein Chhupe Hue Ik Ajeeb Si Ye Naqaab Hai

[Rajesh Reddy]

******************************   
 

Ulat De Ai Sabaa Too Hi Naqaab-E-Rukh Ko Chehre Se
Kabhi To Dekh Len Ham Bhi Zaraa Sarkaar Ki Soorat

[Siddiqui]

******************************   
 

Sharm-E-Rusvaai Se Jaa Chhupna Naqaab-E-Khaak Mein
Khatm Hai Ulfat Ki Tujh Par Parda-Daari Haaye Haaye

[Mirza Ghalib]

******************************   
 

Naqaab Kahti Hai Main Parda-E-Qayaamat Hoon
Agar Yaqeen Na Ho Dekh Lo Uthaa Ke Mujhe

[Jaleel Manikpuri]

******************************
   
 
Aaraaish-E-Jamaal Se Faarigh Nahin Hanuz
Pesh-E-Nazar Hai Aainaa Daaim Naqaab Mein

[Mirza Ghalib]

******************************  
 

Muskuraa Kar Daal Di Rukh Par Naqaab
Mil Gayaa Jo Kuchh Ki Milnaa Tha Javaab

[Moin Ahsan Jazbi]

******************************
      

Be-Pardaa Soo-E-Vaadi-E-Majnoon Guzar Na Kar
Har Zarre Ke Naqaab Mein Dil Be-Qaraar Hai

[Mirza Ghalib]

******************************    
 

Dekhe Baghair Haal Ye Hai Iztiraab Kaa
Kyaa Jaane Kyaa Ho Parda Jo Utthe Naqaab Kaa

[Asar Sahbai]

******************************


Baam Par Aa Ke Utha Do Rukh-E-Taabaan Se Naqaab
Ek Izaafa Hi Sahi Toor Ke Afsaane Mein

[Jigar Moradabadi]

******************************


Bahaar-Laala-O-Gul, Shokhi-E-Barq-O-Sharar Ho Kar
Who Aaye Saamne Lekin Hijaabat-E-Nazar Ho Kar

[Jigar Moradabadi]

******************************


Naqaab-E-Husn Do-Aalam Uthaai Jaati Hai
Mujhi Ko Meri Tajalli Dikhaai Jaati Hai

[Jigar Moradabadi]

******************************


Hashr Bhi To Ho Chukaa Rukh Se Naheen Hatati Naqaab
Had Bhi Aakhir Kuchh Hai Kab Tak Koi Deevana Rahe

[Riyaz Khairabadi]

******************************    
 

‘Aziz’ Munh Se Vo Apne Naqaab To Ulten
Karen Ge Jab Agar Dil Pe Ikhtiyaar Rahaa

[Aziz Lucknawi]

******************************   

Meraa Kalaam Nahin Tasbih Us Muballigh Ki
Jo Bandagi Kaa Bhi Har Dam Hisaab Rakhtaa Hai

Meraa Kalaam Nahin Meezaan Aise Aadil Ki
Jo Apne Chehre Pe Dohraa Naqaab Rakhtaa Hai

[Ahmed Faraz]

******************************
       
Chehre Kaa Nisf Hissa Zer-E-Naqaab Kar Ke
Karte Hain Husn Vaale Deedaar Mein Milaavat

[Unknown]
 
**********************************

Post a Comment

0 Comments

–>