Jaun Elia - Na Main Thehrun Na Jaan Tu Thehre

Na Main Thehrun Na Jaan Tu Thehre

Na Main Thehrun Na Jaan Tu Thehre
Kaun Lamhon Ke Roo-Ba-Roo Thehre

Na Guzarne Pe Zindagi Guzri
Na Thehenre Pe Chaar Soo Thehre

Kaj-Adaa Thi Bahut Ummeed Magar
Hum Bhi ‘Jaun’ Ek Heela-Joo Thehre

Hai Meri Bazm-E-Be-Dili Bhi Ajeeb
Dil Hai Pur Khoon Jahan Suboo Thehre

Main Yahan Muddaton Mein Aayaa Hoon
Ek Hangaama Koo-Ba-Koo Thehre

Main Jo Hoon Kya Nahin Hoon Main Khud Bhi
Khud Se Baat Aaj Doo-Ba-Doo Thehre

Mehfil-E-Rukhsat-E-Hameshaa Hai
Aao Ek Hashr-E-Haa-O-Hoo Thehre

Ek Tawajjah Ajab Hai Samton Mein
Ke Na Boloon To Guftugoo Thehre

Ek Chaak-E-Barahnagi Hai Wujood
Pairaahan Ho To Be-Rafoo Thehre

Baagh-E-Jaan Se Mila Na Koi Samar
‘Jaun’ Hum To Numoo Numoo Thehre

----------------------------

Post a Comment

0 Comments

–>