Meer Anees - Garmi-E-Dasht-E-Karbala

Garmi-E-Dasht-E-Karbala

Garmi Ka Roz-E-Jang Ki, Kyon Kar Karoon Bayaan
Dar Hai Ke Misl-E-Shamma Na Jalne Lage Zabaan.
Woh Loo, Ke Alhazar! Woh Haraarat, Ke Alamaan
Run Ki Zameen To Surkh Thi Aur Zard Aasmaan
Aab-E-Khunuk Ko Khalq Tarasti Thi Khaak Par
Goya Hawa Se Aag Barasti Thi Khaak Par
Woh Loo, Woh Aaftaab Ki Hiddat, Woh Taab-O-Tab
Kaala Tha Rang Dhoop Se Din Ka Misaal-E-Shab
Khud Nahr-E-Alqama Ke Bhi Sookhe Huwe They Lab
Khaime Jo They Habaabon Ke Tapte They Sab Ke Sab
Udti Thi Khaak, Khushk Tha Chashma Hayaat Ka
Khaula Hua Tha Dhoop Se Paani Faraat Ka
Jheelon Se Chaar-Paaye Na Uthte They Ta-Ba-Shaam
Maskan Mein Machhliyon Ke Samandar Ka Tha Maqaam
Aahu Jo Kaahile They, To Cheetey Syaah-Faam
Patthar Pighal Ke Rah Gaye They Misl-E-Mom Khaam
Surkhi Udi  Thi Phoolon Se, Sabzi Gayah Se
Paani Kunwen Mein Utra Tha Saaye Ki Chaah Se
Koson Kisi Shajar Mein Na Gul They Na Barg-O-Baar
Ek Ek Nakhl Jal Raha Tha Soorat-E-Chinaar
Hansta Tha Koi Gul Na Lahakta Tha Sabza-Zaar
Kaanta Huyi Thi Sookh Ke Har Shakh-E-Baar-Daar
Garmi Yeh Thi Ke Zeest Se Dil Sab Ke Sard They
Patte Bhi Misl-E-Chehra-E-Madqooq Zard They
Aab-E-Rawaan Sey Munh Na Uthaate The Jaanwar
Jungle Mein Chhipte Phirte They Taair Idhar Udhar
Mardam They Saat Pardon Ke Andar Araq Se Tar
Khas-Khana-E-Mizhgaan Se Nikalti Na Thi Nazar
Gar Chashm Sey Nikal Kar Thahar Jaaye Raah Mein
Pad Jaayen Laakh Aable Paa-E-Nigah Mein.
Sher Uthte They Na Dhoop Ke Maare Kachhaar Se
Aahoo Na Munh Nikaalte They Sabza-Zaar Se
Aayina Mehar Ka Tha Mukaddar Ghubaar Se
Gardoon Ko Tap Charhi Thi Zameen Ke Bukhaar Se
Garmi Se Muztarib Tha Zamana Zameen Par
Bhun Jaata Tha Jo Girta Tha Dana Zameen Par
Girdaab Par Tha Shola-E-Jawaala Ka Gumaan
Angaare They Habaab, To Paani Sharar-Fishaan
Munh Se Nikal Padi Thi Har Ek Mauj Ki Zabaan
Tah Par They Sab Nihang, Magar Thi Labon Pe Jaan.
Paani Tha Aag, Garmi-E-Roz-E-Hisaab Thi,
Maahi Jo Seekh-E-Mauj Tak Aayi Kabaab Thi
Aayina-E-Falak Ko Na Thi Taab-O-Tab Ki Taab,
Chhipne Ko Barq Chaahti Thi Daaman-E-Sahaab.
Sab Se Siwa Tha Garm Mizaajaon Ko Izteraab,
Kaafoor-E-Subah Dhoondhta Phirta Tha Aaftaab.
Bhadki Thi Aag Gumbad-E-Charkh-E-Aseer Mein
Baadal Chhipe They Sab Kurrah-E-Zamhareer Mein.

------------------

Post a Comment

0 Comments

–>