Reyaz Khairabadi- Jafa Mein Naam Nikaalo Na Aasmaan Ki Tarah

Jafa Mein Naam Nikaalo



Jafa Mein Naam Nikaalo Na Aasmaan Ki Tarah
Khulen Gi Laakh Zabaanen Meri Zabaan Ki Tarah

Yeh Kis Ki Saya-E-Deewar Ne Mujhe Peesa
Ye Kaun Toot Paḍa Mujh Pe Aasmaan Ki Tarah

Rah-E-Hayat Kati Is Tarah Ki Uth Uth Kar
Main Baith Baith Gaya Gard-E-Kaarwaan Ki Tarah

Shareek-E-Dard To Kya Baa’is-E-Azeeyat Hain
Woh Log Jin Se Ta’alluq Tha Jism-O-Jaan Ki Tarah

Mujhe Shabaab Ne Maara Bala-E-Jan Ho Kar
Bahar Aayi Mere Baaġh Mein Ḳhizaan Ki Tarah

Teri Uthan Taraqqi Kare Qayamat Ki
Tera Shabaab Baḍhe Umr-E-Jawedaan Ki Tarah

'Reyaz' Maut Hai Is Shart Se Hamen Manzoor
Zamin Sataaye Na Marne Par Aasmaan Ki Tarah

---------------------------

Post a Comment

0 Comments

–>