Reyaz Khairabadi- Kal Qayamat Hai Qayamat Ke Siwa Kya Hoga

reyaz-khairabadi


Kal Qayamat Hai Qayamat Ke Siwa Kya Hoga
Ai Main Qurban Wafa Wa’da-E-Farda Hoga

Hashr Ke Roz Bhi Kya Ḳhoon-E-Tamanna Hoga
Saamne Aayenge Ya Aaj Bhi Parda Hoga

Tu Bata De Hamen Sadqe Tere Ai Shaan-E-Karam
Hum Gunahgaar Hain Kya Hashr Hamara Hoga

Aisi Le-De Hui Aa Kar Ke Ilaahi-Tauba
Hum Samajhte They Ki Mahshar Mein Tamasha Hoga

Pike Aaya Araq-E-Sharm Jabin Par Jo Kabhi
Chehre Par Baada-Kasho Noor Barasta Hoga

Sharm-E-Isyan Se Nahin Uthti Hain Palken Apni
Hum Gunahgaar Se Kya Hashr Mein Parda Hoga

Ka’ba Sunte Hain Ki Ghar Hai Baḍe Daata Ka 'Reyaz'
Zindagi Hai To Faqeeron Ka Bhi Phera Hoga

------------------------

Post a Comment

0 Comments

–>