Shakeel Badayuni- Ae shahr-e-Lucknow tujhe mera salaam hai

Ae shahr-e-Lucknow

Ae shahr-e-Lucknow tujhe mera salaam hai
Ae shahr-e-Lucknow tujhe mera salaam hai

Tera hi naam doosra jannat ka naam hai
Ae shahr-e-Lucknow tujhe mera salaam hai

Mere liye bahar bhi tu, gul-badan bhi tu
Parwana aur shamaa bhi tu, anjuman bhi tu

Zulfon ki tarah mehki huyi teri shaam hai
Ae shahr-e-Lucknow tujhe mera salaam hai

Kaisa nikhar tujh mein hai, kya kya hai bankpan
Ghazlen gali-gali hai, to naghme chaman-chaman

Shayar ke dil se puch kya tera maqaam hai
Ae shahr-e-Lucknow tujhe mera salaam hai

Tu voh hai log shahr-e-sitara kahe jise
Firduas-e-husn-e-rang-e-bahaara kahe jise

Tere har ek ada mein wafa ka paiyam hai
Ae shahr-e-Lucknow tujhe mera salaam hai

--------------------------------

Post a Comment

0 Comments

–>