Hasrat Mohani - Chupke Chupke Raat Din Aansoo Bahanaa Yaad Hai

Chupke Chupke Raat Din


Chupke Chupke Raat Din Aansoo Bahanaa Yaad Hai
Ham Ko Ab Tak Aashiqi Kaa Wo Zamaanaa Yaad Hai


Baa Hazaaraan Iztiraab-O-Sad-Hazaaraan Ishtiyaaq
Tujh Se Wo Pahale Pahal Dil Kaa Lagaanaa Yaad Hai


Tujh Se Milte Hi Wo Bebaak Ho Jaanaa Meraa
Aur Teraa Daaton Men Wo Ungli Dabaanaa Yaad Hai


Kheench Lena Wo Meraa Parde Ka Kona Daff-Atan
Aur Dupatte Se Teraa Wo Moonh Chhupaanaa Yaad Hai


Jaan Kar Sotaa Tujhe Wo Qasa-E-Paabosi Meraa
Aur Tera Thukraa Ke Sar Wo Muskuraanaa Yaad Hai


Tujh Ko Jab Tanhaa Kabhi Paanaa To Azraahe-Lihaaz
Hal-E-Dil Baaton Hi Baaton Men Jataanaa Yaad Hai


Jab Sivaa Mere Tumhaaraa Koi Diwaanaa Na Thaa
Sach Kaho Kyaa Tum Ko Bhi Wo Kaarkhaanaa Yaad Hai


Ghair Ki Nazron Se Bach Kar Sab Ki Marzi Ke Khilaaf
Wo Teraa Chori Chhipe Raaton Ko Aanaa Yaad Hai


Aa Gaya Gar Wasl Ki Shab Bhi Kahin Zikr-E-Firaaq
Wo Teraa Ro Ro Ke Mujh Ko Bhi Rulaanaa Yaad Hai


Do-Pahar Ki Dhoop Men Mere Bulaane Ke Liye
Wo Teraa Kothe Pe Nange Paaon Aanaa Yaad Hai


Dekhna Mujh Ko Jo Bargashtaa To Sau Sau Naaz Se
Jab Mana Lenaa To Phir Khud Rooth Jaanaa Yaad Hai


Chori Chori Ham Se Tum Aa Kar Mile The Jis Jagah
Muddaten Guzrin Par Ab Tak Wo Thikaanaa Yaad Hai


Be-Rukhi Ke Saath Sunnaa Dard-E-Dil Ki Daastaan
Aur Teraa Haathon Men Wo Kangan Ghumaanaa Yaad Hai


Waqt-E-Rukhsat Alwidaa Kaa Lafz Kahne Ke Liye
Wo Tere Sukhe Labon Kaa Thar-Tharaanaa Yaad Hai


Baawajood-E-Iddaa-E-Ittaqaa 'Hasrat' Mujhe
Aaj Tak Ahd-E-Havas Ka Ye Fasaanaa Yaad Hai


-------------------

Post a Comment

0 Comments

–>