Ghazal Shayari

urdu ghazal



Ghazal Ashaar


Phoolon Mein Ghazal Rakhna Ye Raat Ki Raani Hai
Is Mein Teri Zulfon Ki Be-Rabt Kahaani Hai

[Bashir Badr]

------------------------------

Ye Shabnami Lahjaa Hai Aahista Ghazal Padhna
Titli Ki Kahani Hai Phoolon Ki Zabaani Hai

[Bashir Badr]

------------------------------

Meri Ghazal Teri Vahshaton Ki Khair Ki Hai
Bahut Dinon Se Bahut Iztraab Aankhon Mein

[Iftikhar Arif]

------------------------------

Ghazal Ne Wahin Zulfon Ke Phaila Diye Saaye
Jin Raahon Pe Dekha Hai Bahut Dhoop Kadi Hai

[Bashir Badr]

------------------------------

Woh Maathe Ka Mataala Ho Ki Honthon Ke Do Misre
Bachpan Se Ghazal Hi Meri Mahbooba Rahi Hai

[Bashir Badr]

------------------------------

Woh Ek Shakhs Ke Jis Ko Ghazal Bhi Kehtey Hain
Usi Ke Naam Se Jeena, Usi Se Marna Hai

Bashir Badar

------------------------------

Woh Ghazal Vaalon Ka Usloob Samajhte Honge!
Chaand Kehte Hain Kise, Khoob Samajhte Honge!

[Bashir Badr]

------------------------------

Itni Milti Hai Meri Ghazlon Se Soorat Teri
Log Tujh Ko Mera Mehboob Samajhtey Honge

[Bashir Badr]

------------------------------

Yun Hi Be-Sabab Na Phira Karo, Koyi Shaam Ghar Bhi Raha Karo
Wo Ghazal Ki Sachchi Kitaab Hai, Usey Saari Raat Parha Karo

[Bashir Badr]

------------------------------

Ghazal Us Ne Chhedi Mujhe Saaz Denaa
Zaraa Umr-E-Rafta Ko Aavaaz Denaa

[Safi Lucknawi]

------------------------------

Bhigi Hai Raat Faiz Ghazal Ibtidaa Karo
Vaqt-E-Sarod, Dard Kaa Hangaam Hi To Hai

[Faiz Ahmed Faiz]

------------------------------

Sajaao Bazm Ghazal Gaao Jaam Taaza Karo
Bahut Sahi Gham-E-Geeti Sharaab Kam Kya Hai

[Faiz Ahmed Faiz]

------------------------------

Ab Bhi Khizaan Ka Raaj Hai Lekin Kahin Kahin
Gosha-E-Rah-E-Chaman Mein Ghazal-Khvaan Huye To Hain

[Faiz Ahmed Faiz]

------------------------------

Kuchch To Padhiye Ki Log Kahte Hain
Aaj Ghaalib Ghazal-Saraa Na Hua

[Mirza Ghalib]

------------------------------

Ba-Qadr-E-Shauq Nahin Zarf-E-Tangana-E-Ghazal
Kuchh Aur Chaahiye Vusa’t Mere Bayaan Ke Liye

[Mirza Ghalib]

------------------------------

Main Chaman Mein Kya Gaya Goya Dabistaan Khul Gaya
Bulbulen Sun Kar Mere Naale Ghazal-Khvaan Ho Gayin

[Mirza Ghalib]

------------------------------

Kaise Sukoon Paaoon Tujhe Dekhne Ke Baad
Ab Kyaa Ghazal Sunaaoon Tujhe Dekhne Ke Baad

[Saeed Shahidi]

------------------------------

Sadqe Firaq Ejaaz-E-Sukhan Ke Kaise Udaai Ye Aavaaz
In Ghazlon Ke Parde Mein To Meer Ki Ghazlen Bole Hain

[Firaq Gorakhpuri]

------------------------------

Naqsh-O-Nigar-E-Ghazal Mein Jo Tum Yeh Shaadaabi Paao Ho,
Hum Ashkon Mein Kaaynaat Ke Nok-E-Qalam Dubo Le Hain.

[Firaq Gorakhpuri]

------------------------------

Ab Tera Zikr Bhi Shaayad Hi Ghazal Mein Aaye
Aur Se Aur Huaa Dard Ka Unvaan Jaanaan

[Ahmed Faraz]

------------------------------

Karoon Na Yaad Agar Kis Tarah Bhulaaoon Usey
Ghazal Bahaana Karoon Aur Gungunaaoon Usey

[Ahmed Faraz]

------------------------------

Varna Ab Talak Yoon Tha Khvaahishon Ki Baarish Mein
Yaa To Toot Kar Royaa Yaa Ghazal-Saraai Ki

[Ahmed Faraz]

------------------------------

Gai Umr Dar Band-E-Fikr-E-Ghazal
So Is Fan Ko Aisa Badhaa Kar Chale

[Meer Taqi Meer]

------------------------------

Ham Se Puchho Ghazal Kya Hai Ghazal Ka Fan Kya Hai
Chand Lafzon Mein Koi Aah Chhupaa Di Jaaye

------------------------------

Rangeen Bahana Hai Faqat Nazm-O-Ghazal Ka,
Maqsood Haqeeqat Ki Yahaan Parda-Daari Hai.

[Wajd]

------------------------------

Ghazal Mein Bandish-E-Alfaaz Hi Nahin Sab Kuchh
Jigar Ka Khoon Bhi Kuchh Chaahiye Asar Ke Liye

------------------------------

Be-Dard Sunani Ho To Chal Kahta Hai Kya Achchhi Ghazal
Aashiq Tera, Rusavaa Tera, Shaayar Tera, Inshaa Tera

[Ibn-e-Insha]

------------------------------

Ziddi, Vehshi, Allhar, Chanchal, Meethey Log, Raseeley Log
Honth Un Ke Ghazlon Ke Misrey Aankhon Mein Afsaaney They

[Ibne Insha]

------------------------------

Khaamushi Mein Hazaar Gham Sahna
Kitna Dushvaar Hai Ghazal Kahna

------------------------------

Wo Meer Ki Ghazal Ho Ki Ghaalib Ki Shaayari
Naghme Tamaam Saaz-E-Rag-E-Jaan Se Aaye Hain

[Ibrahim Zauq]

------------------------------

Ye Mahakti Hui Ghazal ‘Makhdoom’
Jaise Sahraa Mein Raat Phoolon Ki

[Makhdoom Mohiuddin]

------------------------------

‘Faiz’ Main Shaayar Vahi Hoon Shaam-E-Tanhaai Men Kal
Dhadkanon Ke Saaz Par Jis Ki Ghazal Gaai Gayi

[Faiz Ahmad Faiz]

------------------------------

‘Asghar’ Ghazal Mein Chaahiye Vo Mauj-E-Zindagi
Jo Husn Hai Buton Mein Jo Masti Sharaab Mein

[Asghar Gondvi]

------------------------------

Mail-E- Sher-O-Ghazal Phir Hai Tabeeyat ‘Asghar’
Abhi Kuch Aur Muqaddar Mein Hai Ruswaa Hona

[ Asghar Gondvi ]

------------------------------

Daagh Ke Sher Javaani Mein Bhale Lagte Hain
Meer Ki Koi Ghazal Gaao To Kuchh Chain Pade

[Ganesh Bihari Tarz]

------------------------------

Zahid Ne Pee To Jaam-E-Panaah Ban Ke Rah Gai
Rindon Ne Pee To Jaam-E-Baqaa Ban Gai Gazal

[Ganesh Bihari Tarz]

------------------------------

Main To Ghazal Sunaa Ke Akelaa Kaharha Raha
Sab Apne-Apne Chaahne Waalon Mein Kho Gaye

[Krishn Bihari Noor]

------------------------------

Falaan Se Thi Ghazal Behter Falaan Ki
Falaan Ke They Zakhm Achche Falaan Se

[Jaun Eliya]

------------------------------

Na Hua Par Na Hua ‘Meer’ Ka Andaz Naseeb
'Zauq' Yaaron Ne Bahut Zor Ghazal Min Maaraa

[Ibrahim Zauq]

------------------------------

Woh Bad-Gumaan Ho To Sher Soojhe Na Shaayari
Woh Meharbaan Ho To 'Zafar' Samajho Gazal Hui

[Zafar]

------------------------------

Yun Muddai Hasad Se Na De Daad, Tu Na Dey
Aatish Ghazal Ye Tu Ne Kahi Aashiqaana Kya

[Aatish]

------------------------------

Ye Mahekti Hui Ghazal Makhdoom
Jaise Sehraa Mein Raat Phoolon Ki

[Makhdoom Mohiuddin]

------------------------------

Taareekiyaan Chamak Gayin Aawaaz-E-Dard Se
Meri Ghazal Se Raat Ki Zulfen Sanvar Gayeen

[Firaq Gorakhpuri]

------------------------------

Apni Zubaan Se Tum Ne Suna Kar Meri Ghazal
Merey Har Sher Ko Deevaan Kar Diyaa

[Nazeer Banarasi]

------------------------------

Na Wo Fiker Hai Na Wo Shayari Na Qalam Mein Woh Taab-O-Taab Hai,
Main Likhoon To Kaise Ghazal Likhoon Mera Zehn Zer-E-Ataab Hai

------------------------------

Tanha Apne Aap Ko Jab Paaiye Janaab
Meri Ghazal Ko Saath Liye Jaaiye Janaab

------------------------------

Dard Seene Se Uthaa Aankh Se Aansoo Nikle
Raat Aai To Ghazal Kahne Ke Pahle Nikle

------------------------------

Ghalib Teri Zamin Pe Likhi To Hai Ghazal
Terey Qad-E-Sukhan Ke Baraabar Nahin Main

------------------------------

Mere Jaise Ban Jaao ge Jab Ishq Tumhen Ho Jaaye Ga
Tum Meri Ghazlen Gaao ge Jab Ishq Tumhen Ho Jaaye Ga

------------------------------

Kabhi To Mere Liye Bhi Toot Kar Mujh Se Milo
Ye Kya Ke Meri Ghazal Ko Hi Saraahte Rahna

------------------------------

Gar Too Mushaaire Mein Saba Aaj Kal Chale
Kahiyo Azim Se Ke Zaraa Vo Sanbhal Chale

Padhne Jo Yaar Shab Ko Ghazal Dar Ghazal Chale
Bahar-E-Rajaz Mein Daal Ke Bahar-E-Ramal Chale

[Mirza Rafi Sauda]

------------------------------

Kar Ke Tuk-Bandi Tarannum Se Ghazal Main Ne Padhi
Aur Sab Kahne Lage ‘Bekal’ Bhi Shaayar Ho Gaya

[Bekal Barhanpuri]

------------------------------

Shikaayat Un Se Karna Go Museebat Mol Lena Hai
Magar ‘Aajiz’ Ghazal Ham Be-Sunaaye Dam Nahin Lenge

[Kaleem Aajiz]

------------------------------

Raushan Chehra Bhigi Zulfen Kis Ko Doon Kis Par Tarjeeh
Ek Qasida Dhoop Pe Likhoon Yaa Ek Ghazal Barasaat Ke Naam

[Malikzada Manzoor]

------------------------------

Husn Ko Chaand Javaani Ko Kanval Kahte Hain
Un Ki Soorat Nazar Aaye To Ghazal Kahte Hain

[Qateel Shifai]

------------------------------

Jis Ne Bhi Hans Ke Baat Ki Ham Us Ke Ho Liye
Zulfon Ki Thandi Chhaaon Mili Aur So Liye

Kahna Kisi Ghazal Ka Dushvaar Bahut Hai
Goya Jigar Ke Khoon Se Moti Piro Liye

------------------------------

Ghazal Rudaad Hai Naakaamiyon Ki
Ghazal Maharumiyon Ki Daastaan Hai
Ghazal Riste Huwe Zakhmon Ka Marham
Ghazal Ek Chaara-E-Dard-E-Nihaan Hai
Ghazal Ka Husn Hi Hai Husn-E-Aalam
Ghazal Ka Noor Hi Noor--E-Jahaan Hai

[Jagdish Bhatnagar 'Hayaat']

------------------------------

Duniya Bani To Hamd-O-Sanaa Ban Gai Ghazal
Utraa Jo Noor Noor-E-Khuda Ban Gai Ghazal

Goonja Jo Naad-Brahm, Bani Raqs-E-Mahar-O-Maah
Zarre Jo Thar-Tharaaye Sadaa Ban Gai Ghazal

Chamki Kahin Jo Barq To Ehasaas Ban Gayi
Chhaai Kahin Ghataa To Adaa Ban Gai Ghazal

Aandhi Chali To Qahar Ke Saanche Mein Dhal Gayi
Baad-E-Sabaa Chali To Nasha Ban Gayi Ghazal

Haiwaan Bane To Bhook Bani Be-Basi Bani
Insaan Bane To Jazb-E-Vafaa Ban Gai Ghazal

Uthaa Jo Dard-E-Ishq To Ashkon Mein Dhal Gayi
Bechainiyaan Badhin To Duaa Ban Gai Ghazal

Zaahid Ne Pi To Jaam-E-Panaah Ban Ke Rah Gayi
Rindon Ne Pi To Jaam-E-Baqaa Ban Gai Ghazal

Arz-E-Dakkan Mein Jaan To Dilli Men Dil Bani
Aur Shahar Lakhnau Mein Hina Ban Gai Ghazal

Dohe Rubaai Nazmen Sabhi 'Tarz' They Magar
Asnaaf-E-Shaayari Ka Khuda Ban Gai Ghazal

[Ganesh Bihari 'Tarz']

------------------------------

Dil Dard Ki Bhatti Mein Kayi Baar Jale Hai
Tab Ek Ghazal Husn Ke Saanche Mein Dhale Hai

[Kaleem Aajiz]

------------------------------

Ghazal Kaho Ke Ye Haal Ab Ghazal Ke Qaabil Hai
Pakaa Pakaa Hai Kaleja Dukhaa Dukhaa Dil Hai

------------------------------

Meri Ghazal Ko Meri Jaan Faqat Ghazal Na Samajh
Ek Aaina Hai Jo Har Dam Tere Muqaabil Hai

[Kaleem Aajiz]

------------------------------

Ye Vazaa-E-Vafaadaari ‘Aajiz’ Na Badal Dena
Vo Zakhm Tujhe Denge Tum Un Ko Ghazal Dena

[Kaleem Aajiz]

------------------------------

Kal Kahte Rahe Hain Wahi Kal Kahte Rahen Ge
Har Daur Mein Ham Un Pe Ghazal Kahte Rahen Ge

[Kaleem Aajiz]

------------------------------

Chhuri Jin Ke Haathon Se Khaanaa Pade Hai
Ghazal Bhi Unhin Ko Sunaanaa Pade Hai

[Kaleem Aajiz]

------------------------------

Aazmaana Hai To Aa Baazoo-E- Dil Ki Quwwat
Too Bhi Shamshir Uthaa Ham Bhi Ghazal Kahte Hain

[Kaleem Aajiz]

------------------------------


Shayari Ashaar


Firaq, Ai Kaash, Sun Ne Waalon Ke Seenon Mein Dil Hota,
Haqeeqat Hoti Hai Ash’aar Mein, Baaten Nahin Hotin.

[Firaq Gorakhpuri]

------------------------------

Kabhi Pichhli Pahar Ko Dekh Le Kisi Saans Lete Chiragh Ko,
Jo Ghazal Hui To Sha’oor Mein Wohi Khastgi Hai, Wohi Thakan.

[Firaq Gorakhpuri]

------------------------------

Hum Parwarish-E-Lauh-O-Qalam Karte Rahenge,
Jo Dil Pe Guzarti Hai Raqam Karte Rahenge.

[Faiz Ahmad Faiz]

------------------------------

Sun Kar Mera Afsana-E-Ghum Us Ne Yeh Kaha,
Ho Jaaye Jhoot Sach, Yehi Khoobi Bayaan Ki Hai.

[Daagh Dehlvi]

------------------------------

Nahin Mumkin Ke Kilk-E-Fikr Likhe Sher Sab Achhe,
Barasta Hai Bahut Neesaan, Guhar Hote Hain Kam Paida.

[Nasikh]

------------------------------

‘Asghar’ Nishaat-E-Rooh Ka Ik Khil Gaya Chaman,
Jumbish Hui Jo Khama-E-Rangeen Nigaar Ko.

[Asghar Gondvi]

------------------------------

Kya Jaanoon Dil Ko Kheenche Hain Kyon Sher ‘Meer’ Ke,
Kuchh Tarz Aisi Bhi Nahin, Aihaam Bhi Nahin.

[Mir Taqi Mir]

------------------------------

Jalwa Hai Mujhi Se Lab-E-Darya-E-Sukhan Par,
Sad Rang Meri Mauj Hai, Main Taba-E-Rawaan Hoon.

[Mir Taqi Mir]

------------------------------

Yehi Sher Hain Meri Sultanat, Isi Fun Mein Hai Mujhe Aafiyat,
Mere Kaasa-E-Shab-O-Roz Mein Tere Kaam Ki Koi Shai Nahin.

[Nasir Kazmi]

------------------------------

Hosh-O-Hawaas, Taab-O-Tawaan, Fikr-E-Shaairy
Sab Kuchh Lutaa Diya Hai, Tere Intezaar Mein

[Kalim Akhtar]

------------------------------

Bandish-E-Alfaaz Jadne Se Nagon Ke Kam Nahin,
Shayari Bhi Kaam Hai, Aatish, Murassa-Saaz Ka.

[Aatish]

------------------------------

Duniya Ne Tajurbaat-O-Hawaadis Ki Shakl Mein,
Jo Kuchh Mujhe Diya Hai, Lauta Raha Hoon Main.

[Sahir Ludhianvi]

------------------------------

Khulta Kyon Kisi Par Mere Dil Ka Mu’aamla,
Sheron Ke Intekhaab Ne Ruswa Kiya Mujhe.

[Mirza Ghalib]

------------------------------

Post a Comment

1 Comments

  1. Best Urdu Shayari Collection
    https://zgpoetry.blogspot.com/

    ReplyDelete

–>