Khalish Shayari





Kya Khabar Thi Khalish-E-Naaz Na Jeene Degi
Ye Teri Pyaar Ki Aavaaz Na Jeene Degi

[Jigar Moradabadi]

*********************************


Vo Khalish Jis Se Tha Hangaama-E-Hasti Barpa
Vaqf-E-Betaabi-E-Khaamosh Hui Jaati Hai

[Jigar Moradabadi]

*********************************


Aap Ke Dushman Rahen Vaqf-E-Khalish Sarf-E-Tapish
Aap Kyun Gham-Khvaari-E-Beemaar-E-Hijraan Keejiye

[Jigar Moradabadi]

*********************************


Raahat-E-Be-Khalish Agar Mil Bhi Gai To Kya Maza
Talkhi-E-Gham Bhi Chaahiye Baada-E-Khush-Gavaar Mein

[Jigar Moradabadi]

*********************************


Jo Masarraton Mein Khalish Nahin Jo Azeeyaton Mein Maza Nahin
Tere Husn Ka Bhi Qusoor Hai Mere Ishq Hi Ki Khata Nahin

*********************************


Mere Dard Mein Ye Khalish Kahaan Mere Soz Mein Ye Tapish Kahaan
Kisi Aur Hi Ki Pukaar Hai Meri Zindagi Ki Sada Nahin

[Jigar Moradabadi]

*********************************


Koi Mere Dil Se Poochhe Tere Teer-E-Neem-Kash Ko
Ye Khalish Kahaan Se Hoti Jo Jigar Ke Paar Hota

[Mirza Ghalib]

*********************************


Ye Kis Khalish Ne Phir Is Dil Mein Aashiyaana Kiya
Phir Aaj Kis Ne Sukhan Ham Se Ghaayebaana Kiya

[Faiz Ahmed Faiz]

*********************************


Dil Ki Khalish To Saath Rahegi Tamaam Umr
Dariyaa-E-Gham Ke Paar Utar Jaayen Ham To Kya

[Munir Niazi]

*********************************


Ik Khalish Ko Haasil-E-Umr-E-Ravaan Rahne Diya
Jaan Kar Ham Ne Unhen Naa-Maharabaan Rahne Diya

[Adeeb Saharanpuri]

*********************************


Khalish-E-Ghamza-E-Khoon-Rez Na Poochh
Dekh Khoon-Aabafishaani Meri

[Mirza Ghalib]

*********************************


Vo Na Aaye To Sataati Hai Khalish Si Dil Ko
Vo Jo Aaye To Khalish Aur Javaan Hoti Hai

[Sahir Hoshiarpuri]

*********************************


Ai Dil Ki Khalish Chal Yun Hi Sahi, Chalta To Hoon Un Ki Mahfil Mein
Us Vaqt Mujhe Chaunka Dena Jab Rang Pe Mahfil Aa Jaaye

[Behzad Lucknawi]

*********************************

Post a Comment

0 Comments

–>