Khamoshi Shayari

khamoshi silence


Ye Sukoot-E-Naaz Ye Dil Ki Ragon Ka Tootnaa
Khamoshi Mein Kuchh Shikast-E-Saaz Ki Baaten Karo

[Firaq]

--------------------------------- 


Kah Rahaa Hai Dariya Se Samandar Ka Sukoot
Jis Ka Jitna Zarf Hai Utna Vo Khaamosh Hai

[Allama Iqbal]

-------------------------


Zulmat Kade Mein Mere Shab-E-Gham Ka Josh Hai
Ek Shamma Hai Daleel-E-Sahar So Khamosh Hai

[Mirza Ghalib]

--------------------------


Khamosh Ai Dil Bhari Mahafil Mein Chillaanaa Nahin Achhaa
Adab Pahlaa Qareenaa Hai Mohabbat Ke Qareenon Mein

[Allama Iqbal]

---------------------------


Bazm Mein Us Ke Roo-Ba-Roo Kyoon Na Khamosh Baithiye
Us Ki To Khamoshi Mein Bhi Hai Ye Hi Mudda'a Ki Yoon

[Mirza Ghalib]

------------------------------


Umr Bhar Jaltaa Rahaa Dil Aur Khamoshi Ke Saath
Shamma Ko Ek Raat Ki Soz-E-Dili Pe Naaz Thaa

[Saqib Lucknawi]

----------------------------------


Khamosh Tum Bhi The Aur Khamosh Main Bhi Thaa
Phir Vo Kaun Thaa Jo Itni Der Boltaa Rahaa

[Unknown]

---------------------------------


Khamoshi Khud Apni Sadaa Ho Aisa Bhi Ho Sakta Hai
Sannaata Hi Goonj Raha Ho Aisaa Bhi Ho Sakta Hai

[Zaka Siddiqui]

----------------------------------


O Aasmaan Vaale Kabhi To Nigaah Kar
Kab Tak Ye Zulm Sahte Rahen Khamoshi Se Ham

[Sahir Ludhianvi]

---------------------------------


Main Ne Ye Kab Kaha Ke Mere Haq Mein Ho Javaab
Lekin Khamosh Kyoon Hai Too Koi Faislaa To De

[Rana Sahri]

-------------------------------


Lab-E-Khamosh Se Izhaar-E-Tamannaa Chaahe
Baat Karne Ko Bhi Tasveer Kaa Lahajaa Chaahe

[Muzaffar Warsi]

----------------------------------


Uff Khamoshi Ki Ye Aahen Dil Ko Bharmaati Hui
Uff Ye Sannaate Ki Shahnaai Kise Aavaaz Doon

[Josh Malihabadi]

--------------------------------- 


Moonh Ki Baat Sune Har Koi Dil Ke Dard Ko Jaane Kaun
Aavaazon Ke Baazaaron Mein Khamoshi Pahchaane Kaun

[Unknown]

----------------------------------  


Khamoshi Kaa Haasil Bhi Ek Lambi Si Khamoshi Hai
Un Ki Baat Suni Bhi Ham Ne Apni Baat Sunaai Bhi

[Gulzar]

------------------------------

Post a Comment

1 Comments

  1. Very nice collection of shayari. Lovely collection. Please add more urdu shayari my friend.

    ReplyDelete

–>