Khuda Shayari

Khuda Shayari




Khuda Ham Ko Aisi Khudai Na De
Ki Apne Siwa Kuchh Dikhaai Na De

Khuda Aise Irfaan Kaa Naam Hai
Rahe Saamane Aur Dikhaai Na De

[Bashir Badr]

**********************

Dil Ko Kyaa Ho Gayaa Khuda Jaane
Kyon Hai Aisaa Udaas Kyaa Jaane

Kah Diyaa Main Ne Haal-E-Dil Apna
Is Ko Tum Jaano Yaa Khuda Jaane

[Daagh]

**********************

Patthar Ke Khuda Vahaan Bhi Paaye
Ham Chaand Se Aaj Laut Aaye

[Kaifi Azmi]

**********************


Khuda Jaane Kahan Hai Asghar-E-Diwaana Barson Se,
Ki Us Ko Dhoondhte Hain Kaaba-O-But-Khana Barson Se

[Asghar Gondvi]

**********************


Us Ke Farogh-E-Husn Se Jhamke Hai Sab Mein Noor,
Shama-E-Haram Ho Ya He Diya Somnath Ka.

[Mir Taqi Mir]

**********************


Har Zarra Chamakta Hai Anwaar-E-Ilahi Se,
Har Saans Yeh Kahti Hai, Hum Hain To Khuda Bhi Hai.

[Akbar Allahabadi]

**********************


Dil-O-Deeda-E-Ahle Aalam Mein Ghar Hai,
Tumhaare Liye Hain Makaan Kaise Kaise.

[Firaq Gorakhpuri]

**********************


Kishti-E-Dil Ki Ilaahi, Bahr-E-Hasti Mein Ho Khair,
Na Khuda Milte Hain, Lekin Ba-Khuda Milta Nahin.

[Akbar Allahabadi]

**********************


Museebat Jis Se Zaail Ho, Woh Saamaan Kar Dega,
Na Ghabrana, Khuda Sab Mushkilen Aasaan Kar Dega.

[Shad Azeemabadi]

**********************

Jahaan Mein Thi Bas Ik Afwaah Tere Jalwon Ki,
Chiragh-E-Dair-O-Harm Jhilmilaae Hain Kya Kya!

[Firaq Gorakhpuri]

**********************


Na Tha To Khuda Tha, Na Hota To Khuda Hota,
Duboya Mujh Ko Hone Ne, Main Na Hota To Kya Hota.

[Mirza Ghalib]

**********************


Tha Woh To Rashk-E-Hoor-E-Bahishti Hameen Mein ‘Meer’,
Samjhe Na Hum To Fahm Ka Apni Qasoor Tha.

[Mir Taqi Mir]

**********************


Sab Ke Di Mein Hal Jagah Teri, Jo Tu Raazi Hua,
Mujh Pe Goya Ik Zamaana Meharbaan Ho Jaaye Ga.

[Mirza Ghalib]

**********************


Ghafil Khuda Ki Yaad Pe Mat Bhool, Zeenhaar,
Apne Taein Bhula De Agar Tu Bhula Sake.

[Meer Dard]

**********************


Tha Mustaar Husn Ke Us Ke Jo Noor Tha,
Khursheed Mein Bhi Us Hi Ka Zarra Zahoor Tha.

[Mir Taqi Mir]

**********************


Arz-O-Sama Kahan Teri Wus’at Ko Paa Sake,
Mera Hi Dil Hai Woh Ke Jahaan Tu Samaa Sake.

[Meer Dard]

**********************

Jab Ke Tujh Bin Koi Nahin Maujood,
Phir Yeh Hangaama, Ai Khuda, Kya Hai.

[Mirza Ghalib]

**********************


Saudaagri Nahin, Yeh Ibaadat Khuda Ki Hai,
Ai, Be-Khabar, Jizaa Ki Tamanna Bhi Chhor De.

[Allama Iqbal]

**********************


Kaaba Kis Munh Se Jaao Ge, Ghalib,
Sharm, Tum Ko Magar Nahin Aati.

[Mirza Ghalib]

**********************


Chamak Teri Ayaan, Bijli Mein, Aatish Mein, Sharaare Mein,
Jhalak Teri Hawaida Chaand Mein, Sooraj Mein, Taare Mein.

[Allama Iqbal]

**********************


Kabhi, Ai Haqeeqat-E-Muntezir, Nazar Aa Libaas-E-Majaaz Mein,
Ke Hazaaron Sijde Tarap Rahe Hain Meri Jabeen-E-Niyaaz Mein.

[Allama Iqbal]

**********************


Kaun Kare Hai Baaten Mujh Se Tanhaai Ke Parde Mein,
Aise Mein Kis Ki Aawazen Kaanon Mein Ras Gholen Hain

[Firaq Gorakhpuri]

**********************


‘Daagh’ Ko Kaun Dene Wala Tha,
Jo Diya, Ai Khuda, Diya Tu Ne.

[Daagh]

**********************


Be Talab Jo Mila, Mila Mujh Ko,
Be-Gharaz Jo Diya, Diya Tu Ne.

[Daagh]

**********************


Jalwe Meri Nigah Mein Kaun-O-Makaan Ke Hain,
Mujh Se Kahaan Chhipen Ge, Woh Aise Kahaan Ke Hain

[Daagh]

**********************


Sauda Nigah-E-Deeda-E-Tahqeeq Ke Hazoor,
Jalwa Har Ek Zarre Mein Hai Aaftaab Ka.

[Sauda]

**********************


Jinhen Main Dhoondta Tha Aasmaanon Mein, Zameenon Mein,
Woh Nikle Mere Zulmat-Khana-E-Dil Ke Makeenon Mein.

[Allama Iqbal

**********************


Khuda Ka Matlab Hai Khud Mein Aa Tu, Khud Aagahi Hai Khuda Shanaasi,
Khuda Ko Khud Se Juda Samajh Kar Bhatak Raha Hai Idhar Udhar Kyon.

[Aamil Darvesh]

**********************


Aql Mein Jo Ghir Gaya, La Intehaa Kyonkar Hua,
Jo Samajh Mein Aa Gaya, Phir Woh Khuda Kyonkar Hua.

[Akbar Allahabadi]

**********************


Jahaan Toofaan Mein Phans Kar Safeena Dagmagaata Hai,
Wahaan Qadar-E-Khuda-O-Na-Khuda Maaloom Hoti Hai.

[Unknown]

**********************


Ashjaar Khaama Howen, Jo Aab-E-Seah Bahaar,
Likhna Na To Bhi Ho Sake Uske Sifaat Ka.

[Mir Taqi Mir]

**********************


Usey Kaun Dekh Sakta, Ke Yagaana Hai Woh Yakta,
Jo Dui Ki Boo Bhi Hoti, To Kahin Do Chaar Hota.

[Mirza Ghalib]

**********************


Woh Hai Sab Jagah Jo Karo Nazar, Woh Kahin Nahin Jo Ho Be-Basar,
Mujhe Aaj Tak Na Hui Khabar, Woh Kahaan Hai, Aur Kahaan Nahin.

[Chakbast]

**********************


Kya Farz Hai Ke Sab Ko Mile Ek Sa Jawaab,
Aao Na Hum Bhi Sair Karen Koh-E-Toor Ki.

[Mirza Ghalib]

**********************


Aankh Bhi Chaahiye Nazzaara-E-Wahdat Ke Liye
But Ko Aasaan Nahin Munh Se Khuda Kah Dena

[Hairat Allahabadi]

**********************


Adam Se Bhej Diya Kyon Hamen Khafa Ho Kar
Kharaab Ho Gaye Ham Aap Se Juda Ho Kar

[Hairat Allahabadi]

**********************


Kaun Si Shai Hai Ke Jis Mein Nahin Jalwa Tera
Ham Ko Tu Hi Nazar Aata Hai Jidhar Dekhte Hain

[Hairat Allahabadi]

**********************


Aaraam Hai Un Ko, Jo Tere Mahwe Laqaa Hain
Betaab Woh Qater Hain Jo Darya Se Juda Hain

Har Kisi Mein Ayaan Nihaan Ho Tum
Jitne Qaalib Hai Sab Ki Jaan Ho Tum

[Hairat Allahabadi]

**********************


Jalwa-Farmaa-E-Laa-Makaan Tum Ho
Koi Jis Jaa Nahin Wahaan Tum Ho

[Hairat Allahabadi]

**********************


Jism Mein,Dil Mein,Jee Mein Hairat Ke
Allah Allah, Kahaan Kahaan Tum Ho

[Hairat Allahabadi]

**********************


Us Ka To Noor Jalwa-Numa Har Bashar Mein Hai
Ai Ghaafilo Futoor Tumhaari Nazar Mein Hai

[Hairat Allahabadi]

**********************


Allah Re Kamaal-E-Khudi Ki Wus’aten
Mera Hi Saamna Hai Jidhar Dekhta Hoon Main

[Jigar Moradabadi]

**********************


Laakh Dhoonden, Gauhar-E-Maqsood Mil Sakta Nahin,
Hukm Gar Tera Na Ho, Patta Bhi Hil Sakta Nahin.

[Zarif Jabalpuri]

**********************


Laakh Naadaan Sahi, Aisey Bhi Hum Koor Nahin,
Ke Chaman Dekh Ke Zikr-E-Chaman-Aara Na Karen.

[Wahshat Culkatvi]

**********************


Pata Yoon To Bataate Hain Woh Sabko Laa Makaan Apna,
Magar Maaloom Hai Rahte Hain Woh Toote Hue Dil Mein.

[Unknown]

**********************


Raqeebon Ne Rapat Likhwaai Hai Ja Ja Ke Thaane Mein,
Ke Akbar Naam Leta Hai Khuda Ka Is Zamaane Mein.

[Akbar Allahabadi]

**********************


Safeena Jab Ke Kinaare Pe Aa Laga, ‘Ghalib’,
Khuda Se Kya Shikwa-E-Jaur-E-Nakhuda Kahiye!

[Mirza Ghalib]

**********************


Na Kahin Jahaan Mein Amaan Mili,Jo Amaan Mili To Kahaan Mili,
Mere Jurm-E-Khana Kharaab Ko, Tere Ufw-E-Banda Nawaaz Mein.

[Allama Iqbal]

**********************


Nikal Kar Dair-O-Ka’baa Se Agar Milta Na Mai-Khana
To Thukaraaye Huey Insaan Khuda Jaane Kahaan Jaatey

[Qateel Shifai]

**********************


Achchaa! Yaqeen Nahin Hai To Kashti Dubo Ke Dekh
Ek Tu Hi Naa-Khuda Nahin Zaalim, Khuda Bhi Hai

[Qateel Shifai]

**********************


Khuda Naseeb Kare Un Ko Daayami Khushiyaan
‘Adam’ Jo Log Hamein Be-Qaraar Rakhte Hain

[Abdul Hameed Adam]

**********************


Gawaahi Kaise Tootti, Mu'amla Khuda Ka Tha
Mera Aur Uss Ka Raabta To Haath Aur Dua Ka Tha

[Parveen Shakir]

**********************


Yaad-E-Khuda Ka Waqt Bhi Aaye Ga Koi Ya Nahin ?
Yaad-E-Gunah Kab Talak Shaam-O-Sahar Namaaz Mein ?

[Yaas Yagaana]

**********************


Bada Sukoon Hai, Din Chain Se Guzarte Hain
Ham Ab Kisi Se Nahin Bas Khuda Se Darte Hain

[Krishn Bihari Noor]

**********************


Khuda Aise Bandon Se Kyon Phir Na Jaaye
Jo Baitha Hua Maangna Jaanta Hai

[Yagaana Changezi]

**********************


Jis Ko Bhi Sheikh-O-Shaah Ne Hukm-E-Khuda Diya Qaraar
Hamne Nahin Kiya Woh Kaam Haan Baa-Khuda Nahin Kiya

[Jaun Eliya]

**********************


Baatein Bhi Ki Khuda Ne Dikhaaya Jamaal Bhi
Vallaah Kya Naseeb Janaab-E-Kaleem Tha

[Ameer ‘Meenai’]

**********************


Aa Jaao Ge Haalaat Ki Zadd Per Jo Kisi Din
Ho Jaaye Ga Ma’loom Khuda Hai Ke Nahin Hai

[Ehsan Danish]

**********************


Buton Se Tujhe Umeeden Khuda Se Naa-Umeedi
Mujhe Bata To Sahi Aur Kaafiri Kya Hai

[Allama Iqbal]

**********************


Tujhe Is Se Ziyada Koi Samjha Hi Nahin Sakta
Khuda Woh Hai Jo Hadd-E-Aqal Mein Aa Hi Nahin Sakta

[Josh Malihabadi]

**********************


Khuda Ke Waastey Parda Na Ka’bey Se Uthaa Zalim
Kahin Aisa Na Ho Yaan Bhi Wohi Kaafir Sanam Nikley

[Ghalib]

**********************


Allah To Sab Ki Sunta Hai, Jurrat Hai 'Shakeel' Apni Apni
Haali Ne Zubaan Se Kuchh Na Kaha, Iqbal Shikaayat Kar Baithey

[Shakeel Badayuni]

**********************


Ye Roz-Marra Ke Kuch Vaaqeyaat-E-Shaadi-Wa-Gham
Mere Khuda Yehi Insaan Ki Zindagaani Hai

[Abdul Hameed Adam]

**********************


Khuda Is Shehr Ko Mehfooz Rakhe
Yeh Bachchon Ki Tarah Hunsta Bohat Hai

[Bashir Badr]

**********************


Arsh-O-Kursi Pe Kya Khuda Milta
Aagey Barhtey To Kuch Pata Milta

[Daagh Dehlvi]

**********************


Main Ne Din Raat Khuda Se Ye Du’aa Maangi Thi
Koi Aahat Na Ho Dar Pe Mere Aur Tu Aaye

[Bashir Badr]

**********************


Jab Makaan-O-Laa-Makaan Sab Se Guzar Jaataa Hoon Main
Allah-Allah Tujh Ko Khud Apni Jagah Paataa Hoon Main

[Jigar Moradabadi]

**********************


Ai Khuda Muntazir Hain Barson Se
Aur Kab Tak Hidaayatein Gumsum

[Kalim Akhtar]

**********************


Ek Ehsas Hai Khuda Kya Hai
Is Tasawwur Mein Doobna Kya Hai

[Kalim Akhtar]

**********************


Is Saadgi Ko Kaun Na Apnaaye Ai Khuda!
Dil Haath Bhi Uthaata Nahin Aur Dua Buland

[Kalim Akhtar]

**********************


Main Aap Apni Talaash Mein Hoon
Mera Koi Rahnuma Nahin Hai
Woh Kya Dikhayen Ge Raah Mujh Ko
Jinhen Khud Apna Pataa Nahin Hai
Ye In Ke Mandir, Ye In Ki Masjid
Ye Zar-Paraston Ki Sajda-Gaahen
Agar Ye Inke Khuda Ka Ghar Hai
To In Mein Mera Khuda Nahin Hai

[Raz Allahabadi]

**********************


Barson Se Tere Naam Pe Khaata Raha Fareb
Mere Khuda Kahan Hai Tu Apna Pata To De

[Saeed Raahi]

**********************


Nahin Milte Na Miliye Khair Koi Mar Na Jaaye Ga
Khuda Ka Shukr Hai Pahle Mohabbat Apne Kaam Ki

[Agha Shayer]

**********************


Main Khuda Ka Kabhi Bhi Na Shukar Ada Kar Paoon Ga
Par Usse Kitna Chahta Hoon Ye Duniya Ko Dikhaoon Ga
Log To Pyaar Ke Naam Ko Aise Badnaam Kar Dete Hein
Main Pyar Ke Iss Paak Naam Ko Ik Naya Naam De Jaoon Ga


[Waqas Mir]

**********************

Milaaye Hum Se Jo Aisi Nazar Nahin Koi
Hamaari Tarah Ka Rakhta Jigar Nahin Koi
Khuda Gavaah Ke Apna To Ghar Nahin Koi
Dayaar-E-Ghair Mein Mehram Agar Nahin Koi
To 'Faiz' Zikr-E-Vatan Apne Ru-Ba-Ru Hi Sahi

[Faiz Ahmad Faiz]

**********************


Hum Se Tu Is Qadar Khafa Kya Hai
Tu Sanam Hai Ke Hai Khuda Kya Hai
Hum Khade Hain Jhukaaye Sar Kab Se
Tegh Utha Tegh Dekhta Kya Hai

[Qamar Jalalabadi]

**********************


Hum Mutmain Hain Us Ki Razaa-Ke Baghair-Bhi,
Har-Kaam Chal Rahaa Hai, Khuda-Ke Baghair-Bhi.

[Sultan Akhtar]

**********************


Tu Sab Se Aa'laa,Tu Sab Se Bartar
Azmat Jo Hai Woh Tere Liye Hai
Shaukat Jo Hai Woh Tere Liye Hai
Allah-O-Akbar , Allah-O-Akbar

[Tanweer Phool]

**********************


Bananaa Padaa Hai Aap Hi Apnaa Khuda Mujhe
Kis Kufr Ki Mili Hai Bhala Ye Sazaa Mujhe


[Salman Akhtar]

**********************-


Tujhe Dhondhta Tha Main Chaar-Soo,
Teri Shaan Jalle Jalalahoo ,
Tu Mila Qarib-E-Khoj Loon,
Teri Shaan Jalle Jalalahoo,
Teri Yaad Main Hai Kali-Kali,
Hai Chaman Chaman Main Hubbal Ali
Tu Basa Hai Phool Mein Hu-Ba-Hu,
Teri Shaan Jalle Jalalahoo,

[Chiragh Hasan Hasrat]

**********************


Duniya Se Dil Lagakar Duniya Se Kya Mile Ga ,
Yaad-E-Khuda Kiye Ja Tujh Ko Khuda Mile Ga ,
Daulat Ho Ya Hukoomat Taqat Ho Ya Jawani,
Har Cheez Mitne Wali Har Cheez Aani-Jaani,

[Chiragh Hasan Hasrat]

**********************


Zameen Bhi Teri Hai, Maalik Gulam Bhi Tere Hain
Kabhi Too Mere Khuda, Apne Aasmaan Se Nikal

[Shamim Farooqui]

**********************


Manzilen Bhi Uski Theen Raasta Bhi Uska Tha
Ek Main Akela Tha Qaafla Bhi Uska Tha

Saath Saath Chalne Ki Soch Bhi Uski Thi
Raasta Badalne Ka Faisla Bhi Uska Tha

Aaj Main Akela Hoon To Dil Sawaal Karta Hai
Log To Us Ke The Par, Kya Khuda Bhi Uska Tha

**********************


Dhoondne Se To Bashar Ko Khuda Bhi Milta Hai
Khuda Agar Dhoonde To Insaan Kahaan Milta Hai

[Irfan]

**********************

Kaun Ai But Hai Tu Khuda Jaane
Kufr Kya Shai Hai Koi Kya Jaane

Dil Ko Poochha Jo Main Ne Woh Bole
Kahin Hogaa Meri Balaa Jaane

Ek Hi Hain Khuda Wa But Zaahid
Wohi Mushtarak Hai Jo Khuda Jaane

Ishq Hai Khoob Shughl Samjhe Ham
Koi Uss Ko Na Jaane Yaa Jaane

[Nasikh]

**********************

Ai Khuda, Ai Khuda, Tere Bande Hain Hum,
Hum Gunah-Gaar Hain, Hum Siyah-Kaar Hain

Rang-O-Khushbu Diye, Maah-E-Jugnu Diye,
Khwahishon Ke Humein, Chanchal Aahu Diye,
Jo Na Tooten Kabhi, Aise Jaadu Diye
Khetiyan Sabz Keen, Kar Ke Dharti Ko Nam,

Ai Khuda Ai Khuda Tere Bande Hain Hum

[Manzar Bhopali]

**********************

Tu Bhi Kisi Ka Pyar Na Paaye Khuda Kare
Tujh Ko Tera Nasib Rulaaye Khuda Kare

Raaton Mein Tujh Ko Neend Na Aaye Khuda Kare
Tu Dar-Ba-Dar Ki Thokren Khaaye Khuda Kare

Aaye Bahar Tere Gulistan Mein Bar Bar
Tujh Par Kabhi Nikhaar Na Aaye Khuda Kare

**********************


Meri Tarah Tujhe Bhi Jawaani Mein Gham Milen
Tera Na Koi Sasth Nibhsaye Khuda Kare

Manzil Kabhi Bhi Pyar Ki Tujh Ko Na Mil Sake
Tu Bhi Dua Ko Hath Uthsaye Khuda Kare

Tujh Par Shab-E-Wissal Ki Rsaten Harsam Hon
Shammein Jala Jala Ke Bujhasye Khuda Kare

Ho Jasyen Bad-Duayen Meri Dosto Ghalat
Ab Un Pe Koi Harf Na Saye Khuda Kare

[Hafeez Jalandhri]

**********************

Ham To Chalte Hain Lo Khuda Haafiz
But-Kadaa Ke Buton Khuda Haafiz

Kar Chuke Tum Naseehatan Ham Ko
Jaao Bas Naaseho Khuda Haafiz

Aaj Kuchh Aur Tarah Par Un Ki
Sunte Hain Guftugoo Khuda Haafiz

Bar Yahi Hai Hameshaa Zakhm Pe Zakhm
Dil Ke Chaara-Garon Khuda Haafiz

Aaj Hai Kuchh Ziyaadaa Betaabi
Dil-E-Betaab Ka Khuda Haafiz

Kyon Hifaazat Ham Aur Ki Dhoondhen
Har Nafas Jab Ki Hai Khuda Haafiz

Chaahe Rukhsat Ho Raah-E-Ishq Mein Aql
Ai ‘Zafar’ Jaane Do Khuda Haafiz

[Bahadur Shah Zafar]

**********************


Arz-O-Sama Kahan Teri Wus’at Ko Paa Sake,
Ek Mera Hi Dil Hai Jahaan Tu Samaa Sake,
Wahdat Ka Teri Kya Hurf-E-Dui Laa Sake,
Aaina Kya Majaal Jo Tujhe Moonh Dikhaa Sake

**********************


Ai Khuda Ret Ke Sehra Ko Samandar Kar De
Ya Chhalakti Huwi Aankhon Ko Bhi Paththar Kar De

Tum Ko Dekha Nahin Mehsoos Kiya Hai Main Ne
Aa Kisi Din Mere Ehsaas Ko Yaqeen Kar De

Teri Baargaah Mein Ai Khuda, Jyun Hi Sar Ko Main Ne Jukha Diya,
Usi Waqt Teri Khudai Ne, Mujhe Pastiyon Se Uthaa Diya,

Main Zaleel Tha Main Haqeer Tha, Tere Dar Ka Ek Faqeer Tha,
Tu Ne Ek Hi Sajde Mein, Mujhe Kya Se Kya Banaa Diya,

Rag-E-Jaan Se Bhi Tu Qareeb Hai,Tu Hi Likhta Sab Ke Naseeb Hai,
Jise Chaaha Pal Mein Utha Diya, Jise Chaaha Pal Mein Giraa Diya


Mujhe Zindagi Mein Qadam Qadam Pe Teri Raza Ki Talaash Hai
Tere Ishq Mein Ai Mere Khuda ! Mujhe Inteha Ki Talaash Hai

Main Gunaahon Mein Hoon Ghira Hua,Mein Zameen Pe Hoon Gira Hua
Jo Mujhe Gunaahon Se Nijaat De ,Mujhe Uss Dua Ki Talaash Hai;

Main Ne Jo Kia Bura Kia ,Main Ne Khud Ko Khud Hi Tabaah Kia;
Jo Tujhe Pasand Ho Mere Rabb! Mujhe Uss Ada Ki Talaash Hai

Tere Dar Par Hi Mera Sar Jhuke Mujhe Aur Nahin Kuch Chaahiye
Mujhe Sab Se Kar De Be-Neyaaz ,Mujhe Uss Ana Ki Talaash Hai

**********************


Fiza Ne Jab Dariya Mein Pani Ko Sehlaaaya
To Jitne Bal Khaa Ke Paani Kinaaron Se Takraaya
Utni Baar Ai Khuda Tu Yaad Aaya

Jab Baarish Ki Boondon Ne Dharti Ko Chooma
Hum Ne Zameen Par Bikharte Sitaaron Ko Paaya
Jitne Sitaaron Ko Saawan Ne Barsaaya
Utni Baar Ai Khuda Tu Yaad Aaya

Fiza Ne Jab Gulshan Mein Phoolon Ko Mehkaaya
To Jitni Baar Mahek Ko Hum Ne Apni Saanson Mein Paaya
Utni Baar Ai Khuda Tu Yaad Aaya

Baadlon Ke Peeche Se Jab
Sooraj Yun Muskaaya
Uski Narm Kiranon Se Tu Ne
Jab Zindagi Ki Lau Ko Jalaaya
Utni Baar Ai Khuda Tu Yaad Aaya

Gulshan Ki Raahon Se Jab Main Guzra
To Jitne Khush-Gawaar Ehsaason Ko Main Ne Qareeb Paaya
Utni Baar Ai Khuda Tu Yaad Aaya

**********************

Post a Comment

3 Comments

  1. Every minute God remember you. Every second God cares you. Because every day i pray to God 2 take care for you. God give you all the happieness of life. !!
    Naat Sharif MP3

    ReplyDelete

–>