Ahmad Faraz- Jo Chal Sako To Koi Aisi Chaal Chal Jaana






Jo Chal Sako To Koi Aisi Chaal Chal Jaana
Mujhe Gumaan Bhi Na Ho Aur Tum Badal Jaana

Yeh Sho’lagi Ho Badan Ki To Kya Kiya Jaaye
So Laazmi Tha Tere Pairahan Ka Jal Jaana

Tumhin Karo Koi Darmaan Yeh Waqt Aa Pahuncha
Ke Ab To Chaara-Garon Ko Bhi Haath Mal Jaana

Abhi Abhi To Judaai Ki Shaam Aaye Thi
Humain Ajeeb Laga Zindagi Ka Dhall Jaana

Saji Sajaaye Hui Maut Zindagi To Nahin
Moa’rrekhon Ne Maqaaber Ko Bhi Mahal Jaana

Yeh Kya Ke Tu Bhi Issi Saayat-E-Zawaal Main Hai
Ke Jiss Tarah Se Sabhi Soorajon Ko Dhall Jaana

Har Ek Ishq Ke Baad Aur Uss Ke Ishq Ke Baad
‘Faraz’ Itna Bhi Aasaan Na Tha Sambhal Jaana

------------------------

Post a Comment

0 Comments

–>