Firaq - Bahut Pahle Se Un Qadmon Ki Aahaat Jaan Lete Hain

 
Bahut Pahle Se Un Qadmon Ki Aahaat Jaan Lete Hain
Tujhe Ai Zindagi Ham Door Se Pahchaan Lete Hain

Meri Nazren Bhi Aise Qaatilon Kaa Jaan-O-Imaan Hai
Nigaahen Milte Hi Jo Jaan Aur Imaan Lete Hain

Tabiyat Apni Ghabraati Hai Jab Sun-Saan Raaton Men
Ham Aise Men Teri Yaadon Ki Chaadar Taan Lete Hain

Khud Apnaa Faislaa Bhi Ishq Men Kafi Nahin Hotaa
Use Bhi Kaise Kar Guzren Jo Dil Men Thaan Lete Hain

Jise Soorat Bataate Hain Pataa Deti Hai Sirat Kaa
Ibaarat Dekh Kar Jis Tarha Maani Jaan Lete Hain

Tujhe Ghaataa Na Hone Denge Kaarobaar-E-Ulfat Men
Ham Apne Sar Teraa Ai Dost Har Ehsaan Lete Hain

Hamaari Har Nazar Tujhase Nayi Saugandh Khaati Hai
To Teri Har Nazar Se Ham Nayaa Paigaam Lete Hain

'Firaq' Aksar Badal Kar Bhes Milataa Hai Koi Qaafir
Kabhi Ham Jaan Lete Hain Kabhi Pahachaan Lete Hain

-----------------------

Post a Comment

0 Comments

–>