THE DEFINITIVE DIGITAL HOME FOR URDU'S GREATEST POETS. BIOGRAPHY, GHAZALS, NAZMS, MUSHAIRA VIDEOS

Poet of the day

Nazm

Home Ghalib - Woh Firaaq Aur Woh Visaal Kahaan
mirza ghalib



Woh Firaaq Aur Woh Visaal Kahaan
Woh Shab-O-Roz-O-Maah-O-Saal Kahaan

Fursat-E-Kaarobaar-E-Shauq Kise
Zauq-E-Nazzaraa-E-Jamaal Kahaan?

Dil To Dil Wo Dimaagh Bhee Na Rahaa
Shor-E-Sauda-E-Khatt-O-Khaal Kahaan

Thee Woh Ik Shakhs Ke Tasavvur Se
Ab Woh Raanaai-E-Khayaal Kahaan

'Eisa Aasaan Naheen Lahoo Rona
Dil Mein Taaqat Jigar Mein Haal Kahaan

Hamse Choota Qamaarkhaana-E-Ishq
Waa’n Jo Jawai’n, Girah Mei’n Maal Kahaan

Fikr-E-Duniyaan Mein Sar Khapaata Hoon
Main Kahaa’n Aur Ye Wabaal Kahaa’n

Muzmahil Ho Gaye Quwa'a 'Ghalib'
Wo Anaasir Mei’n 'Eitdaal Kahaan

  -------------------

No comments:

Post a Comment

| Designed by Colorlib