Khumar - Gham-E-Jaanaan Ko Gham Jaane Hu’e Hain




Gham-E-Jaanaan Ko Gham Jaane Hu’e Hain,
Khirad Waale Bhi Diwaane Hue’e Hain,

Idhar Aa Ai Khushi, Ai Mukhbir-E-Gham,
Tujhe Ham Khoob Pahchaane Hu’e Hain,

Bahut Khush Hain Meri Gustaakhion Par,
Ba-Zaahir Jo Buraa Maane Hu’e Hain,

Khudaa Samjhaane Waalon Se Bachaaye,
Ham Ab Sach-Much Hi Diwaane Hu’e Hain,

Main Naa-Waaqif Nahin Dair-O-Haram Se
Ye Wiraane Mere Chhaane Hu’e Hain,

Khade Hain Mai-Kade Ke Dar Pe Zaahid,
Na Jaane Dil Men Kyaa Thaane Hu’e Hain,

“Khumar” Is Daur Men Zikr-E-Muhabbat,
Yaqeenan Aap Diwaane Hu’e Hain.

------------------------

Post a Comment

0 Comments

–>