Khumar - Na Haaraa Hai Ishq Aur Na Duniyaa Thaki Hai




Na Haaraa Hai Ishq Aur Na Duniyaa Thaki Hai,
Diyaa Jal Rahaa Hai Hawaa Chal Rahi Hai,

Sukoon Hi Sukoon Hai, Khushi Hi Khushi Hai,
Teraa Gham Salaamat Mujhe Kyaa Kami Hai,

Wo Moujood Hain Aur Un Ki Kami Hai,
Muhabbat Bhi Tanhaa’i-E-Daaimee Hai,

Khatak Gudgudi Kaa Mazaa De Rahi Hai,
Jise Ishq Kahte Hain Shayad Yahi Hai,

Charaagon Ke Badle Makaan Jal Rahe Hain,
Nayaa Hai Zamaanaa, Na’i Raushni Hai,

Jafaaon Pe Ghut Ghut Ke Chup Rahne Waalo,
Khaamoshi Jafaaon Ki Taaid Bhi Hai,

Mere Raahbar Mujh Ko Gum-Raah Kar De,
Sunaa Hai Ke Manzil Qarib Aa Ga’i Hai,

“Khumar”-E-Baalaanosh Too Aur Taubaa,
Tujhe Zaahidon Ki Nazar Lag Ga’i Hai.

------------------------

Post a Comment

0 Comments

–>