Ye Misraa Nahin Hai, Wazifa Mera Hai,
Khudaa Hai Muhabbat, Muhabbat Khuda Hai,
Kahoon Kis Tarah Main Ke Wo Bewafa Hai,
Mujhe Uski Majboorion Kaa Pata Hai,
Hawaa Ko Bahut Sarkashi Kaa Nasha Hai,
Magar Ye Na Bhoole, Diyaa Bhi Diya Hai,
Main Usse Judaa Hun, Wo Mujhse Juda Hai,
Muhabbat Ke Maaron Ka Fazl-E-Khuda Hai,
Nazar Men Hai Jalte Makaanon Ka Manzar,
Chamakte Hain Jugnoo To Dil Kaanpta Hai,
Unhen Bhoolna Yaa Unhen Yaad Karna,
Wo Bicchre Hain Jabse Yahi Mashgala Hai,
Guzartaa Hai Har Shakhs Chehraa Chupaaye,
Ko’i Raah Mein Aainaa Rakh Gaya Hai,
Kahaan Tu “Khumar” Aur Kahaan Kufr-E-Tauba,
Tujhe Paarsaaon Ne Bahkaa Diya Hai
----------------------

No comments:
Post a Comment