Majaz - Partav-E-Saghar-E-Sahbaa Kya Tha

 Partav-E-Saghar-E-Sahbaa Kya Tha


Partav-E-Saghar-E-Sahbaa Kya Tha
Raat Ik Hashr Sa Barpaa Kya Tha

Kyun Jawaani Ki Mujhe Yaad Aayi
Main Ne Ik Khwaab Sa Dekha Kya Tha

Husn Ki Aankh Bhi Namnaak Hui
Ishq Ko Aap Ne Samjha Kya Hai

Ishq Ne Aankh Jhukaa Li Varna
Husn Aur Husn Ka Parda Kya Tha

Kyun 'Majaz' Aap Ne'saaghar Toda
Aaj Yeh Shehr Mein Charcha Kya Tha

       ------------------

Post a Comment

0 Comments

–>