Rah-E-Shauq Se Ab Hata Chaahta Hoon
Koshish Husn Ki Dekhna ChaahtaaHoon
Koi Dil-Saa Dard Aashna Chaahta Hoon
Rah-E-Ishq Men Rah-Numa Chaahta Hoon
Tujhi Se Tujhe Chheenna Chaahta Hoon
Ye Kyaa Chaahta Hoon Ye Kyaa Chaahta Hoon
Khataaon Pe Jo Mujh Ko Maail Kare Phir
Sazaa Aur Aisi Sazaa Chaahta Hoon
Vo Makhmoor Nazaren Vo Mad-Hosh Aankhen
Kharaab-E-Muhabbat Huaa Chaahta Hoon
Vo Aankhen Jhukin Vo Koi Muskuraaya
Payaam-E-Muhabbat Sunaa Chaahta Hoon
Tujhe Dhoondhtaa Hoon Teri Justajoo Hai
Mazaa Hai Khud Ghum Huaa Chaahta Hoon
Kahaan Kaa Karam Aur Kaisi Inaayat
'Majaz' Ab Jafaa Hi Jafaa Chaahta Hoon
---------------------

No comments:
Post a Comment