THE DEFINITIVE DIGITAL HOME FOR URDU'S GREATEST POETS. BIOGRAPHY, GHAZALS, NAZMS, MUSHAIRA VIDEOS

Poet of the day

Nazm

Home Khumar - Mujh Ko Shikast-E-Dil Ka Mazaa Yaad Aa Gayaa
Khumar barabankvi



Mujh Ko Shikast-E-Dil Ka Mazaa Yaad Aa Gayaa,
Tum Kyun Udaas Ho Gaye, Kyaa Yaad Aa Gayaa,

Kehne Ko Zindagi Thi Bahut Mukhtasar Magar,
Kuch Yun Basar Hu’i Ke Khuda Yaad Aa Gayaa,

Barse Baghair Hi Jo Ghataa Ghir Ke Khul Gayi,
Ek Be-Wafaa Kaa Ahd-E-Wafaa Yaad Aa Gayaa,

Maangenge Ab Duaa Ke Use Bhool Jaayein Ham,
Lekin Jo Wo Bawaqt-E-Du’aa Yaad Aa Gayaa,

Hairat Hai Tumko Dekh Ke Masjid Men Ai Khumar,
Kyaa Baat Ho Gayi Jo Khudaa Yaad Aa Gayaa

-------------------------

No comments:

Post a Comment

| Designed by Colorlib