Aatish - Dekha Yaan Aaeena-E-Fikr Ne Jab Safa-E-Aab Dar Sukhan Ka

 Dekha Yaan Aaeena-E-Fikr

Dekha Yaan Aaeena-E-Fikr Ne Jab Safa-E-Aab Dar Sukhan Ka
Dahan Ko Jauhar Khula Zabaan Ka, Zabaan Ko Aqda Khula Dahan Ka

Nazar Jo Aa Jaaye Baid Majnu To To Roun Majnu Ki Yaad Mein
Jo Dekhoon Yatsha To Sar Ko Phodoon Khayaal Bant Jaaye Koh-Kan Ka

Barahna Aaya Tha Yaan Adam Se, Barahna Yaan Se Chhala Adam Ko
Na Boye Kaafur Hain Naa Soonghi, Na Daagh Mujhko Laga Kafan Ka

Nigaah Awwal Mein Chashm Se Gon, Yeh Rang Mehfil Kare Deegar Gon
Woh Haal Howe Jo Waqt-E-Aakhir, Sharab-Khoron Ki Anjuman Ka

Jo Haal Parwaan-E-Ishq Mein Hai, Wahi Mohabbat Mein Aalam-E-Dil
Woh Samaa Fanoos Ka Hai Kashta, Yeh Sukhta Noor Pairahan Ka

Na Yeh Nazaakat Pari Mein Hogi, Na Hooren Yeh Nazaakat ‘Aatish’
Jo Haar Phoolon Ka Is Ne Pahna, To Bojh Uthaaya Hazaar Man Ka

---------------------

Post a Comment

0 Comments

–>