Allama Iqbal - Khirad Ke Paas Khabar

iqbal-khirad ke paas


Khird Ke Paas Khabar Ke Siwaa Kuch Aur Nahin
Tera Ilaaj Nazar Ke Siwa Kuch Aur Nahin

Har Muqaam Se Aage Muqaam Hai Tera
Hayaat Zauq-E-Safar Ke Siwa Kuch Aur Nahin

Rangon Main Gardish-E-Khoon Hai Agar To Kya Haasil
Hayaat Soz-E-Jigar Ke Siwa Kuch Aur Nahin

Uruus-E-Laala Munaasib Nahin Hai Mujhse Hijaab
Ki Main Nasim-E-Sahar Ke Siwa Kuch Aur Nahin

Jise Qasaad Samajhte Hain Taajaran-E-Firang
Wo Shay Mataa-E-Hunar Ke Siwa Kcuh Aur Nahin

Giran Baha Hai To Hifz-E-Khudi Se Hai Warna
Gauhar Main Aab-E-Gauhar Ke Siwa Kuch Aur Nahin

                  -------------------

Post a Comment

0 Comments

–>