THE DEFINITIVE DIGITAL HOME FOR URDU'S GREATEST POETS. BIOGRAPHY, GHAZALS, NAZMS, MUSHAIRA VIDEOS

Poet of the day

Nazm

Home Ameer Meenai - Begaana Ho Ke Saarey Jahaan Se Juda Hua
ameer meenai



Begaana Ho Ke Saarey Jahaan Se Juda Hua
Ai Aalam-Aashna Wo Tera Aashna Hua

Daryaa-E-Maarfat Se Jo Dil-Aashna Hua
Hai Bekhudi Sakeena-E-Fazl-E-Fana Hua

Aathon Pahar Hai Jalwa-E-Maashooq Saamne
Hai Muddaton Se Zeest Ka Darya Utha Hua

Hoor Aa Gayi Nazar Ki Pari Koi Dekh Lee
Sauda Sa Hai Ameer Ko Kya Jaane Kya Hua

----------------

No comments:

Post a Comment

| Designed by Colorlib