Daagh - Parde Parde Mein Aataab Achchhe Nahin

Parde Parde Mein Aataab Achchhe Nahin

Parde Parde Mein Aataab Achchhe Nahin
Aise Andaaz-E-Hijaab Achchhe Nahin

Mayakade Mein Ho Gaye Chup-Chaap Kyon
Aaj Kuchh Mast-E-Sharaab Achchhe Nahin

Ai Falak Kyaa Hai Zamaane Ki Bisaat
Dam-Ba-Dam Ke Inqalaab Achchhe Nahin

Bazm-E-Waaiz Be-Sharaan Achchhe Nahin
Aise Jalase Be-Sharaab Achchhe Nahin

Tauba Kar Lein Ham May-O-Maashooq Se
Be-Mazaa Hain Ye Sawaab Achchhe Nahin

Ik Najoomi "Daagh" Se Kahtaa Tha Aaj
Aap Ke Din Ai Janaab Achchhe Nahin

---------------------

Post a Comment

0 Comments

–>