Chaman Main Subah Ye Kahti Thi Ho Kar Chashm-E-Tar Shabnam
Bahaar-E-Baag To Yun Hi Rahi Lekin Kidhar Shabnam
Arq Ki Bund Us Ki Zulf Se Rukhsaar Par Tapki
Tajjub Ki Hai Jaage Ye Padi Khurshid Par Shabnam
Hamen To Baagh Tujh Bin Khaana-E-Maatam Nazar Ayaa
Idhar Gul Pharte The Jeb, Roti Thi Udhar Shabnam
Kare Hai Kuch Na Kuch Taasir Sohbat Saaf Taabon Ki
Hui Aatish Se Gul Ke Baithte Rashq-E-Sharar Shabnam
Bhala Tuk Subah Hone Do Ise Bhi Dekh Levenge
Kisi Aashiq Ke Rone Se Nahin Rakhti Khabar Shabnam
Nahin Asbaab Kuch Laazim Subak Saaron Ke Uthane Ko
Gai Ud Dekhte Apne Bagair Az Baal-O-Par Shabnam
Na Paaya Jo Gaya Is Baag Se Hargiz Suraag Uska
Na Palti Phir Sabaa Idhar, Na Phir Aai Nazar Shabnam
Na Samjha Dard Hamne Bhed Yaan Ki Shaadi-O-Gham Ka
Sahar Khandaan Hai Kyon Roti Hai Kis Ko Yaak Kar Shabnam
----------------------------
0 Comments