Faiz - Aaiye Haath Uthayain Ham Bhi

Aaiye Haath Uthayain Ham Bhi

Aaiye Haath Uthayain Ham Bhi
Ham Jinhe Rasm-E-Dua Yaad Nahin
Ham Jinhe Soz-E-Mohabbat Ke Siwa
Koi But, Koi Khuda Yaad Nahin

Aaiye Arz Guzare Ki Nigaar-E-Hasti
Zahar-E-Imaroz Main Shirini-E-Fardaan Bhar De
Wo Jinhe Tabe Garaanbaari-E-Ayyaam Nahin
Unki Palkon Pe Shab-O-Roz Ko Halka Kar De

Jinki Aankhon Ko Rukh-E-Subh Ka Yaara Bhi Nahin
Unki Raaton Main Koi Shama Munawwar Kar De
Jinke Qadamon Ko Kisi Rah Ka Sahara Bhi Nahin
Unki Nazaron Pe Koi Raah Ujaagar Kar De

Jinka Deen Pairvi-E-Kazbo-Riya Hai Unko
Himmat-E-Kufr Mile, Jurt-E-Tahqiiq Mile
Jinke Sar Muntazir-E-Teg-E-Jafa Hain Unko
Dast-E-Qatil Ko Jhatak Dene Ki Taufeeq Mile

Ishq Ka Sar-E-Nihaan Jaan-Tapaan Hai Jis Se
Aaj Iqraar Karain Aur Tapish Mit Jaaye
Harf-E-Haq Dil Main Khatakta Hai Jo Kante Ki Tarah
Aaj Izhaar Karain Or Khalish Mit Jaaye

------------------

Post a Comment

0 Comments

–>