Faiz - Himmat-E-Iltija Nahin Baaqi


Himmat-E-Iltija Nahin Baaqi
Zabt Ka Hausla Nahin Baaqi

Ik Teri Deed Chin Gai Mujh Se
Varna Duniya Main Kya Nahin Baaqi

Apni Mashq-E-Sitam Se Haath Na Khench
Main Nahin Ya Wafa Nahin Baaqi

Teri Chashm-E-Alam Nawaaz Ki Khair
Dil Main Koi Gila Nahin Baaqi

Ho Chuka Khatm Ahad-E-Hijr-O-Visaal
Zindegi Main Maza Nahin Baaqi

---------------

Post a Comment

0 Comments

–>