THE DEFINITIVE DIGITAL HOME FOR URDU'S GREATEST POETS. BIOGRAPHY, GHAZALS, NAZMS, MUSHAIRA VIDEOS

Poet of the day

Nazm

Home Faraz - Sakoot-E-Shaam-E-Khizaan Hai Qareeb Aa Jaao
Ahmad faraz



Sakoot-E-Shaam-E-Khizaan Hai Qareeb Aa Jaao
Bada Udaas Samaan Hai Qareeb Aa Jaao

Na Tum Ko Khud Pe Bharosa Na Ham Ko Zom-E-Wafaa
Na Aitabaar-E-Jahaan Hai Qareeb Aa Jaao

Raah-E-Talab Men Kisi Ko Dhyaan Nahin
Hujoom-E-Hamsafaraan Hai Qareeb Aa Jaao

Jo Dasht-E-Ishq Me Bichhden Wo Umr Bhar Na Mile
Yahaan Yahaan Dhuaan Hi Dhuaan Hai Qareeb Aa Jaao

Ye Aandhiyaan Hain To Shahar-E-Wafaa Ki Khair Nahin
Zamaana Khaak Fashaan Hai Qareeb Aa Jaao

Faaqih-E-Shahar Ki Majalis Nahin Ke Door Raho
Ye Bazm-E-Pir-E-Maghaanhai Qareeb Aa Jaao

Faraz Daur Ke Suraj Ghuroob Samajhe Gaye
Ye Daur-E-Kam-Nazaara Hai Qareeb Aa Jaao

-----------------------

No comments:

Post a Comment

| Designed by Colorlib