Faraz - Tujhse Bichhad Ke Ham Bhi Muqaddar Ke Ho Gaye

Tujhse Bichhad Ke Ham Bhi

Tujhse Bichhad Ke Ham Bhi Muqaddar Ke Ho Gaye,
Phir Jo Bhi Dar Mila Hai Usi Dar Ke Ho Gaye,

Phir Yun Hua Ke Ghhair Ko Dil Se Lagaa Liyaa,
Andar Wo Nafraten Thin Ke Baahar Ke Ho Gaye,

Kyaa Log The Ke Jaan Se Badh Kar Aziz The,
Ab Dil Se Mahw Naam Bhi Aksar Ke Ho Gaye,

Ai Yaad-E-Yaar Tujh Se Karen Kyaa Shikaayaten,
Ai Dard-E-Hijr Hum Bhi To Patthar Ke Ho Gaye,

Samjhaa Rahe The Mujh Ko Sabhi Nasehaan-E-Shehar,
Phir Rafta Rafta Khud Usi Kaafir Ke Ho Gaye,

Ab Ke Na Intizaar Karen Chaaragar Ka Ham,
Ab Ke Gaye To Koo-E-Sitamgar Ke Ho Gaye,

Rote Ho Ek Jazira-E-Jaan Ko “Faraz” Tum,
Dekho To Kitne Shahr Samandar Ke Ho Gaye.

-------------------

Post a Comment

2 Comments

–>