THE DEFINITIVE DIGITAL HOME FOR URDU'S GREATEST POETS. BIOGRAPHY, GHAZALS, NAZMS, MUSHAIRA VIDEOS

Poet of the day

Nazm

Home Faraz - Ye Aalam Shauq Kaa Dekhaa Na Jaaye
Ahmad faraz



Ye Aalam Shauq Kaa Dekhaa Na Jaaye,
Wo But Hai Yaa Khudaa Dekhaa Na Jaaye,

Ye Kin Nazron Se Tum Ne Aaj Dekhaa ,
Ke Teraa Dekhnaa Dekha Na Jaaye ,

Hamesha Ke Liye Mujh Se Bichhad Jaa ,
Ye Manzar Baarahaa Dekhaa Na Jaaye,

Ghhalat Hai Jo Sunaa Par Aazamaa Kar,
Tujhe Ai Baawafaa Dekhaa Na Jaaye ,

Ye Mahroomi Nahin Paas-E-Wafaa Hai ,
Koi Tere Siwaa Dekhaa Na Jaaye,

Yahi To Aashna Bante Hain Aakhir,
Koi Na Aaashna Dekhaa Na Jaaye,

`Faraz` Apne Siwaa Hai Kaun Tera,
Tujhe Tujh Se Juda Dekhaa Na Jaaye.

---------------------

No comments:

Post a Comment

| Designed by Colorlib