Agar Na Zohra-Jabinon Ke Darmiyaan Guzre
To Phir Ye Kaise Kate Zindegi Kahaan Guzre
Jo Tere Aariz-O-Gesu Ke Darmiyaan Guzre
Kabhi Kabhi To Wo Lamhe Balaa-E-Jaan Guzre
Mujhe Ye Waham Raha Muddaton Ke Jurrat-E-Shauq
Kahin Na Khaatir-E-Masoom Par Giraan Guzre
Har Ik Muqaam-E-Mohabbat Bahut Hi Dil-Kash Tha
Magar Ham Ahal-E-Mohabbat Kashaan-Kashaan Guzre
Junoon Ke Sakht Maraahil Bhi Teri Yaad Ke Saath
Hasin Hasin Nazar Aaye Jawaan Jawaan Guzre
Meri Nazar Se Teri Justaju Ke Sadqe Mein
Ye Ik Jahaan Hi Nahin Saikdon Jahaan Guzre
Hajum-E-Jalwa Mein Parwaaz-E-Shauq Kya Kahna
Ke Jaise Ruh Sitaaron Ke Darmiyaan Guzre
Khata Muaaf Zamane Se Badgumaan Hokar
Teri Wafa Pe Bhi Kya Kya Hame Gumaan Guzre
Khuloos Jis Mein Ho Shaamil Wo Daur-E-Ishq-O-Hawas
Naarigaan Kabhi Guzraa Na Raigaan Guzre
Isi Ko Kahte Hain Jannat Isi Ko Dozakh Bhi
Wo Zindegi Jo Haseeno Ke Daramiyaan Guzre
Bahut Haseen Sahii Suhabate Gulon Ki Magar
Wo Zindegi Hai Jo Kaanto Ke Darmiyaan Guzre
Mujhe Tha Shikwa-E-Hijraan Ki Ye Hua Mahsoos
Mere Qareeb Se Hokar Wo Naaghaan Guzre
Bahut Haseen Manaazir Bhi Husn-E-Fitrat Ke
Na Jaane Aaj Tabiyat Pe Kyon Giraan Guzre
Mera To Farz Chaman-Bandi-E-Jahaan Hai Faqat
Meri Bala Se Bahaar Aaye Ya Khizaan Guzre
Kahaan Ka Husn Ki Khud Ishq Ko Khabar Na Hui
Rah-E-Talab Mein Kuch Aise Bhi Imtahaan Guzre
Bhari Bahaar Mein Taraaji-E-Chaman Mat Pooch
Khuda Kare Na Phir Aankhon Se Wo Samaan Guzre
Koi Na Dekh Saka Jin Ko Do Dilon Ke Siwa
Muaamlaat Kuch Aise Bhi Darmiyaan Guzre
Kabhi Kabhi To Isi Ek Musht-E-Khaak Ke Gird
Tawaaf Karte Hue Haft Aasmaan Guzre
Bahut Azeez Hai Mujh Ko Unhin Ki Yaad “Jigar”
Wo Hadsaat-E-Mohabbat Jo Naagahaan Guzre
---------------------
0 Comments