Jigar - Har Dam Duaaen Dena Har Lamha Aahen Bharna



Har Dam Duaaen Dena Har Lamha Aahen Bharna
In Kabhi Kaam Karna Apna Bhi Kaam Karna

Yaan Kis Ko Hai Mayyasar Ye Kaam Kar Guzarna
Ek Baankpan Pe Jeena Ek Baankpan Pe Marna

Jo Zeest Ko Na Samjhe Jo Maut Ko Na Jaane
Jeena Unhin Ka Jeena Marna Unhin Ka Marna

Hariyali Zindegi Pe Sadqe Hazaar Jaane
Mujhko Nahin Gawara Saahil Ki Maut Marna

Ranginiyaan Nahin To Ranaiyaan Bhi Kaisi
Shabnam Si Naazanin Ko Aata Nahin Sanwarna

Teri Inaayaton Se Mujhko Bhi Aa Chala Hai
Teri Himaayaton Main Har-Har Qadam Guzarna

Kuch Aa Chali Hai Aahat Is Paaynaaz Ki Si
Tujh Par Khuda Ki Rahmat Ai Dil Zara Thahar Anaa

Khoon-E-Jigar Ka Haasil Ik Sher Tak Ki Surat
Apna Hi Aks Jis Main Apna Hi Rang Bharna

--------------------------

Post a Comment

0 Comments

–>