Jigar - Ishq Main Laajawaab Hain Ham Log

Ishq Main Laajawaab Hain Ham Log

Ishq Main Laajawaab Hain Ham Log
Maahtab Aaftab Hain Ham Log

Garche Ahal-E-Sharaab Hain Ham Log
Ye Na Samajho Kharaab Hain Ham Log

Shaam Se Aa Gaye Jo Peene Par
Subah Tak Aaftab Hain Ham Log

Naaz Karti Hai Khana-Weerani
Aise Khana-Kharaab Hain Ham Log

Tu Hamara Jawaab Hai Tanha
Aur Tera Jawaab Hain Ham Log

Khub Ham Jaante Hain Qadr Apni
Kitne Naa Kaamyab Hain Ham Log

Har Haqeeqat Se Jo Guzar Jaayen
Wo Sadaqat-Maab Hain Ham Log

Jab Mili Aankh Hosh Kho Baithe
Kitne Haazir-Jawaab Hain Ham Log

------------------------

Post a Comment

0 Comments

–>