Jab Huwa Irfaan To Gham Aaraam-E-Jaan Bantaa Gaya,
Soz-E-Jaanaan Dil Men Soz-E-Digraan Bantaa Gaya,
Rafta Rafta Munqalib Hoti Gayi Rasm-E-Chaman,
Dhire Dhire Naghma-E-Dil Bhi Fughaan Bantaa Gaya,
Main Akelaa Hi Chalaa Thaa Jaanib-E-Manzil Magar,
Ghair Saath Aate Gaye Aur Kaarwaan Bantaa Gaya,
Jis Taraf Bhi Chal Pade Ham Aablaa Paayaan-E-Shauq,
Khaar Se Gul Aur Gul Se Gul-Sitaan Bantaa Gayaa,
Sharh-E-Gham To Mukhtasar Hoti Gayi Uske Huzoor,
Lafz Jo Munh Se Na Niklaa Daastaan Bantaa Gaya,
Baat To Jab Hai Ke Bhar De Saagar-E-Har Khaas-O-Aam,
Yoon To Jo Aaya Wohi Pir-E-Mughaan Bantaa Gaya,
Dahar Men “Majrooh” Ko’i Jaawidaan Mazmoon Kahaan,
Main Jise Chootaa Gayaa Wo Jaawidaan Bantaa Gaya.
-------------------
0 Comments