Mohalla Saain Saain Kar Raha Hai - Rahat Indori

Mohalla Saain Saain Kar Raha Hai

Mohalla Saain Saain Kar Raha Hai
Mere Andar Ka Insaan Mar Raha Hai

Jami Hai Suraj Par Qadmon Ki Chaapen
Na Jaane Kaun Peecha Kar Raha Hai

Main Aksar Baadlon Ko Dekhta Hoon
Koi Budhaa Ibaadat Kar Raha Hai

Ab Uski Thokaron Main Taaj Hoga
Wo Saari Umar Nange Sar Raha Hai

Dil Apne Gham Rasida Perahan Main
Umidon Ka Kashida Bhar Raha Hai

Mere Seene Se Guzri Rail Gaadi
Judaai Ka Ajab Manzar Raha Hai

Bana Taajir Bana Phirta Hai Suraj
Mere Khwabo Ka Sauda Kar Raha Hai

Ho Fursat To Hamare Dukh Bhi Baante
Zara Dekho Khuda Kya Kar Raha Hai

----------------------

Post a Comment

0 Comments

–>