Momin - Asar Usako Zaraa Nahin Hotaa

 Asar Usako Zaraa Nahin Hotaa

Asar Usako Zaraa Nahin Hotaa
Ranj Raahat Fazaa Nahin Hotaa

Tum Hamaare Kisi Tarah Na Hue
Varnaa Duniya Men Kyaa Nahin Hotaa

Naa-Rasaai Se Dam Ruke To Ruke
Main Kisi Se Khafaa Nahin Hotaa

Tum Mere Paas Hote Ho Goyaa
Jab Koi Doosra Nahin Hotaa

Haal-E-Dil Yaar Ko Likhun Kyon Kar
Haath Dil Se Judaa Nahin Hotaa

Kyon Sune Arz-E-Muztarib Ai 'Momin'
Sanam Aakhir Khudaa Nahin Hotaa

------------------------

Post a Comment

0 Comments

–>