Qateel - Wo Jin Ke Anchalon Se Zindagi Takhleeq Hoti Hai

Wo Jin Ke Anchalon Se Zindagi

Wo Jin Ke Anchalon Se Zindagi Takhleeq Hoti Hai,
Dharhakta Hai Hamara Dil Abhi Tak Un Hasinon Mein,

Zamana Paarasaai Ki Hadon Se Ham Ko Le Aaya,
Magar Ham Aaj Tak Ruswa Hain Apne Ham Nashinon Mein,

Talash Un Ko Hamari To Nahi Poochh Zara Un Se,
Wo Qatil Jo Liye Phirte Hain Khanjar Aastinon Mein

Rachi Hai Ratjaga Ki Chandani Jin Ki Jabinon Mein,
`Qateel` Ek Umr Guzri Hai Hamari Un Hasinon Mein,

----------------------------

Post a Comment

0 Comments

–>