Waseem - Main Apne Khuwaab Se Bichdaa Nazar Nahin Aata

Main Apne Khuwaab Se Bichdaa Nazar Nahin Aata

Main Apne Khuwaab Se Bichdaa Nazar Nahin Aata
Tu Is Sadi Main Akela Nazar Nahin Aata

Ajab Dabaav Hai In Bahri Hawaaon Ka
Gharon Ka Bojh Bhi Uthtaa Nazar Nahin Aata

Main Ek Sada Pe Hameshaa Ko Ghar Chod Aaya Tha
Magar Pukaarne Waala Nazar Nahin Aata

Main Teri Raah Se Hatne Ko Hat Gaya Lekin
Mujh To Koi Bhi Rastaa Nazar Nahin Aata

Dhuaan Bhara Hai Yahaan Sabhi Ki Aankhon Main
Kisi Ko Ghar Mera Jaltaa Nazar Nahin Aata

--------------------

Post a Comment

0 Comments

–>