Labon Pe Narm Tabassum Racha Ke Dhul Jaayen
Khudaa Kare Mere Aansoo Kisi Ke Kaam Aayen
Jo Ibtada-E-Safar Mein Diye Bujhaa Baithe
Vo Bad-Naseeb Kisi Ka Suraagh Kya Paayen
Talaash-E-Husn Kahan Le Chali Khuda Jaane
Umang Thi Ki Faqat Zindagi Ko Apnaayen
Bulaa Rahe Hain Ufaq Par Jo Zard-Roo Teele
Kaho To Ham Bhi Fasaane Ke Raaz Ho Jaayen
Na Kar Khudaa Ke Liye Baar-Baar Zikr-E-Bahisht
Ham Aasmaan Ka Mukarrar Fareb Kyon Khaayen
Tamaam Maikadaa Sunsaan Maigusaar Udaas
Labon Ko Khol Kar Kuchh Sochti Hain Meenaayen
---------------------

No comments:
Post a Comment