Iqbal Azim - Humain Jin Doston Ne Be-Gunaahi Ki Saza Di Hai


Humain Jin Doston Ne Be-Gunaahi Ki Saza Di Hai
Humara Zarf Dekho Hum Ne Un Ko Bhi Dua Di Hai

Mubaada Mohr-E Khamoshi Laga Di Jaay Honton Per
Ghazal Ko Ehtiyaatan Hum Ne Goyaai Sikha Di Hai

Raza-Kaaraan-E Aazadi Ke Shouq-E Taaj Poshi Ne
Jo Kuch Rutba Barhaaya Hai Tu Qeemat Bhi Ghata Di Hai

Ba-Naam-E Deen-E Ibrahim Bas Itna Kiya Hum Ne
Ke But-Khaane Se Milti Julti Ik Masjid Bana Di Hai

Ye Sach Hai Bijliyaan Bhi Baaraha Tooti Hain Gulshan Per
Magar Is Aag Ke Sholon Ko Khud Hum Ne Hawa Di Hai

----------------------

Post a Comment

0 Comments

–>