Un Ko Meri Wafaoon Ka Iqraar Bhi Nahin
Aur Pooche To Jurrat-E Inkaar Bhi Nahin
Mere Khuloos Per Jo Bharosa Na Ho Tumhain
Mujh Ko Ta’alluqaat Pe Israar Bhi Nahin
Hain Mere Ghum-Gusaar Agar Mujh Se Bad-Gumaan
Main Ghum-Gusariyoon Ka Talab-Gaar Bhi Nahin
Gul Kar Diye Charaagh Kisi Ne To Kya Huwa
Ab Roshni Se Hum Ko Sar-O Kaar Bhi Nahin
Kaam Un Se Aa Pada Hai Muqaddar Ki Baat Hai
Hum Jin Se Guftugu Ke Rawa-Daar Bhi Nahin
Un Raaston Se Ho Kar Guzar Aai Zindagi
Jin Raaston Main Saya-E Deewaar Bhi Nahin
Maazi Bahut Aziz Hai ‘Iqbaal’ Ko Magar
Wo Ahd-E Raftagaan Ka Aza-Daar Bhi Nahin
-------------------------

0 Comments