Javed Akhtar - Dard Apnaata Hai Paraae Kaun

Dard Apnaata Hai Paraae Kaun

Dard Apnaata Hai Paraae Kaun
Kaun Suntaa Hai Aur Sunaae Kaun

Kaun Doharaae Wo Puraani Baat
Gham Abhi Soya Hai Jagaae Kaun

Wo Jo Apne Hain Kya Wo Apne Hain
Kaun Dukh Jhele Aazmaae Kaun

Ab Sukun Hai To Bhoolne Main Hai
Lekin Us Shakhs Ko Bhulaae Kaun

Aaj Phir Dil Hai Kuch Udaas Udaas
Dekhiye Aaj Yaad Aae Kaun

------------------

Post a Comment

0 Comments

–>