Misaal Is Ki Kahaan Hai Zamaane Mein
Ki Saare Khone Ke Gham Paaye Hamne Paane Mein
Vo Shakl Pighli To Har Shai Men Dhal Gai Jaise
Ajib Baat Hui Hai Use Bhulaane Mein
Jo Muntazir Na Milaa Vo To Ham Hai Sharmindaa
Ki Hamne Der Lagaa Di Palat Ke Aane Mein
Latif Thaa Vo Takhaiyyul Se, Khvaab Se Naazuk
Gavaan Diyaa Hamne Hi Use Aazamaane Mein
Samajh Liyaa Thaa Kabhi Ek Saraab Ko Dariyaa
Par Ek Sukoon Thaa Hamko Fareb Khaane Mein
Jhukaa Darakht Havaa Se, To Aandhiyon Ne Kahaa
Zyaada Farq Nahin Jhuk Ke Toot Jaane Mein
-----------------

0 Comments