THE DEFINITIVE DIGITAL HOME FOR URDU'S GREATEST POETS. BIOGRAPHY, GHAZALS, NAZMS, MUSHAIRA VIDEOS

Poet of the day

Nazm

Home Kaifi - Tum Pareshaan Na Ho Baab-E-Karam Waa Na Karo
Kaifi Azmi





Tum Pareshaan Na Ho Baab-E-Karam Waa Na Karo
Aur Kuch Der Pukaaroonga Chalaa Jaaoonga


Isi Kooche Men Jahaan Chaand Ugaa Karte Hain
Shab-E-Taarik Guzaaroonga Chalaa Jaaoonga


Raasta Bhool Gaya Ya Yahaan Manzil Hai Meri
Koi Laaya Hai Ya Khud Aaya Hoon Maaloom Nahin


Kahte Hain Husn Ki Nazren Bhi Haseen Hoti Hain
Main Bhi Kuch Laaya Hoon Kya Laaya Hoon Maaloom Nahin


----------------------

No comments:

Post a Comment

| Designed by Colorlib