Aankhon Mein Thakan, Dhanak Badan Par
Jaise Shab-E-Awwaleen Dulhan Par
Dastak Hai Hawa-E-Shab Ke Tan Par
Khulta Hai Naya Dareecha Fan Par
Rangon Ki Jameel Barishon Mein
Utri Hai Bahaar Phoolban Par
Thaame Huye Haath Raushni Ka
Rakh Aayi Qadam Zameen Gagan Par
Guzra Tha Koi Shareer Jhonka
Silwat Hai Qaba-E-Aasman Par
Shabnam Ke Labon Pe Naachti Hai
Chhaya Hai Ajab Nasha Kiran Par
Khulti Nahin Barg-O-Gul Ki Aankhen
Jaadoo Koi Kar Gaya Chaman Par
Khamoshi Kalaam Kar Rahi Hai
Jazbaat Ki Muhar Hai Sukhan Par
----------------
Jaise Shab-E-Awwaleen Dulhan Par
Dastak Hai Hawa-E-Shab Ke Tan Par
Khulta Hai Naya Dareecha Fan Par
Rangon Ki Jameel Barishon Mein
Utri Hai Bahaar Phoolban Par
Thaame Huye Haath Raushni Ka
Rakh Aayi Qadam Zameen Gagan Par
Guzra Tha Koi Shareer Jhonka
Silwat Hai Qaba-E-Aasman Par
Shabnam Ke Labon Pe Naachti Hai
Chhaya Hai Ajab Nasha Kiran Par
Khulti Nahin Barg-O-Gul Ki Aankhen
Jaadoo Koi Kar Gaya Chaman Par
Khamoshi Kalaam Kar Rahi Hai
Jazbaat Ki Muhar Hai Sukhan Par
----------------
0 Comments