Parveen Shakir - Kamaal-E-Zabt Ko Khud Bhi To Aazamaaoon Gi

Kamaal-E-Zabt Ko Khud Bhi To Aazamaaoon Gi

Kamaal-E-Zabt Ko Khud Bhi To Aazamaaoon Gi
Main Apne Haath Se Us Ki Dulhan Sajaaoon Gi

Supurd Kar Ke Use Chaandni Ke Haathon
Main Apne Ghar Ke Andheron Ko Laut Aaoon Gi

Badan Ke Karb Ko Wo Bhi Samajh Na Paaye Gaa
Main Dil Men Roungi Aankhon Men Muskuraaoon Gi

Wo Kyaa Gayaa Ke Rafaaqat Ke Saare Lutf Gaye
Main Kis Se Rooth Sakoongi Kise Manaaoon Gi

Wo Ik Rishtaa-E-Benaam Bhi Nahin Lekin
Main Ab Bhi Us Ke Ishaaron Pe Sar Jhukaaoon Gi

Bichhaa Diyaa Thaa Gulaabon Ke Saath Apnaa Vajood
Wo So Ke Uthe To Khvaabon Ki Raakh Uthaaoon Gi

Ab Us Kaa Fan To Kisi Aur Se Mansoob Huaa
Main Kis Ki Nazm Akele Men Gungunaaoon Gi

Javaz Dhoondh Rahaa Thaa Nai Muhabbat Kaa
Wo Kah Rahaa Thaa Ke Main Us Ko Bhool Jaaoon Gi

Sama'aton Men Ghane Jangalon Ki Saansen Hain
Main Ab Kabhi Teri Aavaaz Sun Na Paaoon Gi

-------------

Post a Comment

0 Comments

–>