Kariyaa-E-Jaan Men Koi Phool Khilaane Aaye
Wo Mere Dil Pe Nayaa Zakhm Lagaane Aaye
Mere Veeraan Darichon Men Bhi Khushboo Jaage
Wo Mere Ghar Ke Dar-O-Baam Sajaane Aaye
Us Se Ik Baar To Roothoon Main Usi Ki Maanind
Aur Meri Tarah Se Wo Mujh Ko Manaane Aaye
Isi Kooche Men Kai Us Ke Shanaasaa Bhi To Hain
Wo Kisi Aur Se Milne Ke Bahaane Aaye
Ab Na Poochhoon Gi Main Khoye Hue Khvaabon Ka Pataa
Wo Agar Aaye To Kuchh Bhi Na Bataane Aaye
Zabt Ki Shahar-Panaahon Ki Mere Maalik Khair
Gham Kaa Sailaab Agar Mujh Ko Bahaane Aaye
------------------

0 Comments