Parveen Shakir - Zameen Se Reh Gaya Door Aasmaan Kitna

Zameen Se Reh Gaya Door Aasmaan Kitna

Zameen Se Reh Gaya Door Aasmaan Kitna
Sitaara Apne Safar Mein Hai Khush Gumaan Kitna

Parinda Paikaan-Badosh Parwaaz Kar Raha Hai
Raha Hai Usko Khayaal-E-Sayyadgaan Kitna

Hawa Ka Rukh Dekh Kar Samandar Se Poochna Hai
Utthayin Ab Kashtiyon Pe Ham Baadbaan Kitna

Bahaar Mein Khushbuon Ka Naam-O-Nasab Tha Jis Se
Wahi Shajar Aaj Ho Gaya Hai Benishaan Kitna

Gire Agar Aayina To Ek Khaas Zaaviye Se
Wagarna Har Aks Ko Rahe Khud Pe Maan Kitna

Bina Kisi Aas Ke Usi Tarah Jee Raha Hai
Bichhadne Waalon Mein Tha Koi Sakhtjaan Kitna

Woh Log Kya Chal Sakenge Jo Ungliyon Pe Sochen
Safar Mein Hai Dhoop Kis Qadar Saahibaan Kitna

-------------------

Post a Comment

0 Comments

–>