Bargashta-E-Yazdaan Se Kuch Bhool Hui Hai- Hafeez

Bargashta-E-Yazdaan Se

Bargashta-E-Yazdaan Se Kuch Bhool Hui Hai
Bhatke Hue Insaan Se Kuch Bhool Hui Hai

Ta Hadd-E-Nazar Shole Hi Shole Hain Chaman Mein
Phoolon K Nigehbaan Se Kuch Bhool Hui Hai

Jis Ahad Mein Lut Jaye Faqiron Ki Kamaai
Us Ahad Ke Sultan Se Kuch Bhool Hui Hai

Hanste Hain Meri Surat-E-Maftun Pe Shagufe
Mere Dil-E-Naadaan Se Kuch Bhool Hui Hai

Hooron Ki Talab Aur Mai-O-Saghar Se Hai Nafrat
Zaahid Tere Irfaan Se Kuch Bhool Hui Hai

-------------------------

Post a Comment

0 Comments

–>